Showing posts with label lyrics. Show all posts
Showing posts with label lyrics. Show all posts




Maqtal Imam Hussain as

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Aati Thi Yaad Bali Sakina Hussain

Naizey Ki Nook Mar Kay Pasli May Bar Bar
Jalti Zameen Pey Zeen Say Giraya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Pathar Kisi Nay Marey To Phenki Kisi Khaak
Run May Kisi Nay Balon Say Khencha Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Khanjar Chala Raha Hy Wo Seene Pa Beith Kar
Aray Beti,Aray Bachi Naa Aa Kay Dekh Ley Baba Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Ek Maa Nay Baal Kholay Hain Bilkul Usi Jaga
Jis Jaa Pey Shamiynu Nay Giraya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Sattar Qadam Say Dekh Ky Khanjar Kabhi Gala
Zainab Nay Tera Baar Pukara Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Zibha Kay Wakqt Dete Hain Paani Zabih Ko
Maqtal May Qatal Krdia Piyasa Hussain

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Khanjar To Sirf Piyase Ki Gardan Pey Chal Gaya
Abbas Teri Mout Nay Mara Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Zeeshan Pasliyan Thi Shikasta Bawaqt e Dafan
Abid Nay Kis Tarhan Say Uthaya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Aati Thi Yaad Baali Sakina Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko


COMING SOON LYRICS






Meray raaj dulharay
Meri Ankhon kay taaron

Maadar nay ye rou rou kay pukara Ali asghar as
Thaa mujh ko meri jaan say pyara Ali Asghar as

Rukhsat kay mei manzar ko bhula paongi kese
Deti hun mei Alooda e khoon kurtay ko bosay
Yaad ata hai jab chehra tumhara Ali Asghar as

Aagosh mei leti thee kabhi jhoola jhulaati
Ab kya karay roti hai tarapti hai bulati
Tha meri sakina sa ka sahara Ali Asghar as

Seenay say lagaongi bohat pyar karungi
Mei loriyan khud Naad e Ali as ki tumhay dungi
Aagosh mei ajao dubara Ali Asghar as

Tha kitna haseen phool kay jesa tera chehra
Na janay tujhay kiski nazar lag gayi beta
Sadqaa tou kayi baar utara Ali asghar as

Chaon mei na saye mei na bethungi kabhi bhi
Wadaa raha thanda kabhi pani na piyungi
Jeenay ka nahi koi bhi chara Ali Asghar as

Mazloom nay gardan sy teri khainch liya teer
Hathon mei uthaye tujhay le aye thy shabeer as
Mehshar ka nazar aya nazara Ali asghar as

Shish maahe ka bhi haye gala kata gaya hai
Tapti hui raiti pay tera lasha para hai
Maa kesay karay ghum ye gawara Ali Asghar as

Wou aj Naqi rotay hain bas Ahle Aza hi
Kiya karbobala hai ye haqeeqat jou khulegi
Royega jahan tujh ko ye sara Ali Asghar as



Ya Hussain As Ya Hussain As
Syed e Man Hussain As
Waali e Man Hussain As
Qibla e Man Hussain As
Kabaa e Man Hussain As

Ya Hussain Ibn e Ali as tum say Wada ye raha
Hasher tak maa ko teri dengay tumhara pursaa

Jab talak jaan mei jaan
Aye karengay yunhi tera matam bapaa Aye shah e karbala
Murtaza As kay pisar
Mustafa As kay gohar
Dilbar e Syeda Sa
Aye Shah e karbala

Roz e mehshar Khuda sab say farmayega faisla ye hai jannat mei wou jayega
Jiska seena wilayat say sarshar hai wou jou Aal e Muhammad saws ka hubdaar hai
Kijiyega karam hum pay roz e jazaa hai yahi iltejaa  aye shah e karbala

Bin teray chain is dil ko milta nahi hai tamana jahan tu rahun mei wahin
Teray rozay ki chokhat pay rakhun mei sar choomun deewar o dar waaliye behr o bar
Jaan e koun o makaan Rooh e arz o saman
Naaz e khairul waraa aye shah e karbala

Saari duniya Mukhalif bhi hou jaye gar ye azadari yunhi karegi safar
Chahay kat jayein sar chahy lut jayein ghar jiska  dar karbala hou ussay kiska dar
Apkay ishq mei shehad jesa hi hai mout ka zaiqa aye shah e karbala

Ye sabeelein lagin aur langar lagay mushkilein mushkilon mei pari rah gayein
Majlisein bhi huin aur Alam bhi uthay apni manzil ki jaanib ye barhty rahay
Koshishein tou huin phr bhi ruk na sakaa apka kaafila aye shah e karbala

Karbala har kisi ka muqadar nahi ishq ka ye safar har koi kiyn karay
Apkay hi taraf sy unhein hukm hai be ijazat yahan koi aa na sakay
Bas wou zair bana Mola Abbas as ka izn jisko mila aye shah e karbala

Qiblaa Ya Hussain as
Kabaa ya hussain as
Mola ya hussain as
Aqaa ya hussain as
Meray sardar Hussain as
Meray Mukhtar Hussain as
Aye rozay pay teray hum azadar hussain as
Hath seenay pay rakhay kahty hain sab Ahl e aza
Aur kiya chahye un nigaahon ko jou dekh lein karbala Aye shah e karbala

Tang daman hun ye mujh ko ehsas hai waarnay kay liye kiya Meray pas hai
Ik kamaa aur zanjeer laya hun mei teri khatir lahuu mei nahaya hun mei
Matam e shah mei zakhm jitnay lagay sab nay rou kar kaha aye shah e karbala

Muslim o joan hon ya kay hur aur habib sab kay sab bawafaa sab kay sab khushnaseeb
Akhri waqt aya jab unkay qareeb sab nay di ye sadaa aye gamon kay tabeeb
Haq adaa hogaya bandagi ka meri hou kay tum pay fidaa aye shah e karbala

Thaa zaeefi ka jou wou sahara gaya tera karyal jawaan laal mara gaya
Qasim e khastatan bhi judaa hogaye nehr pay jaa kay Abbas as bhi sogaye
Dekh kar ye sitam bebasi par teri rou diye Mustafa saws aye shah e karbala

Fatahe karbala ka fidayi hai tu hukm e shabeer say karbalai hai tu
Jiski piyasi hai duniya wou saagar hai tu
Asmaan e wilayat ka akhtar hai tu
Ahle aflaak bhi daad denay lagay jab ye noha parha aye shah e karbala



ہائے عباس علمدار
کربوبلا کے بن میں زینب کا تھا یہ نوحہ

دل میں بسایا تیرا ارمان فاطمہ نے
مانگا تھا تجھ کو رب سے سجدوں میں مرتضی نے
لاشے پہ باوفا کے کہتی تھی بنتِ زہرا


بیٹی کو شاہِ دیں کی دروں سے مارتے ہیں
اولادِ مصطفیٰ کو باغی پکارتے ہیں
ہر سمت ہیں ستمگر کوئی نہیں ہے اپنا

نیزوں سے مارتے ہیں برسا رہے ہیں پتھر
ہر سمت سے ستمگر کرتے ہیں وار اِس پر
حامی نہیں ہے کوئی دلبندِ فاطمہ کا


آئے نہیں پلٹ کر مقتل میں جو گئے ہیں
اٹھارہ میرے بھائی مقتل میں سو گئے ہیں
چادر بھی چھن گئی ہے سر پر نہیں ہے سایہ

بھائی کی لاڈلی کو کوئی رُلا رہا ہے
آکر کوئی ستمگر خیمے جلا رہا ہے
برسا رہا ہے کوئی عابد پہ تازیانہ

کس کس کو میں سبھالوں کہتی ہے بنتِ زھرا
بچوں کو ڈھونتی ہیں امِ رباب و فروا
اکبر کو یاد کرکے غش کھا رہی ہے لیلیٰ

اے شمس کتنا پُر غم منظر تھا علقمہ کا 
لاشہ تڑپ رہا تھا عباسِ باوفا کا
جب تذکرہ ردا کا زینب کے لب پہ آیا



لبیک یا حسین، لبیک یا حسین

ہل من کی صدائیں آتی ہیں، بندوں کو یہی سمجھاتی ہیں
یہ رسم نہیں ہے کچھ دن کی، ہر یوم ہے یومِ عاشورا

لبیک یا حسین

ہونٹوں سے اگر لبیک کہو، لازم ہے اسے ثابت بھی کرو
یہ یاد رہے ہر روز عمل ، جاتا ہے مرا سوئے مولا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

ہے جنگ یہ حق اور باطل کی، پہچان لو شکلیں قاتل کی
ہر دور میں شہہ کے ماتم نے ، باطل کی نقابوں کو کھینچا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

تعلیم ہے بنتِ سرور کی، کیا فکر رہِ حق میں گھر کی
وہ ماں ہے جو حق پہ مرنے کو، تیار کرے اپنا بیٹا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

غازی کا علم ہے ہاتھوں میں یا ایک قلم ہے ہاتھوں میں
وہ تھامے اسے جو لکھ بھی سکے ، مقتل میں لہو سے اپنی وفا

لبیک یا حسین

جس وقت میں حلقۂ ماتم میں، کرتا ہوں کہیں ماتم داری
ہوتا ہے نہاں جذبہ اس میں، اے کاش میں کربل میں ہوتا

لبیک یا حسین۔۔۔۔۔

لے کر وہ سویرا آئیں گے، جب تین سو تیرہ آئیں گے
پھر وقتِ ظہورِ قائم پر، اٹھے گا یہ کعبے سے نعرہ

لبیک یا حسین

اصغر کے گلے کا تیرِ ستم، قاسم کے وہ ٹکڑوں پر ماتم
دیکھو تاریخ کے سینے میں، موجود ہے اک پھل برچھی کا

لبیک یا حسین

حسرت جو ظہیر اس دل میں ہے، طارق کے لبوں سے کہہ دیجیے
اے کاش یہ نوحہٰ سن کر ہی، آجائیں زمانے کے مولا



COMING SOON LYRICS 


Noha Title | SAJJAD NA TERA BHAI RAHA Reciter | Ahmed Raza Nasiri Poetry | Kumail Zahoor Composition | Nayyer Abbas & Ahmed Raza Nasiri Video | SRS - Karachi Audio | ODS - Karachi Chorus | Arif Baltistani, Mir Basharat Baltistani, Mohammad Ali Moshi Baltistani, Ahmed Nasiri


Noha Lyrics Updating soon..



Zuljanah | Noha Imam Hussain as | Shahid Baltistani Nohay 2022 | Muharram Nohay 2022-1444

#Shahidbaltistani #zuljanah  #muharram 

Mere Baba Ke Zuljanah

Mere Baba Ke Zuljanah 

Kehti Thi Yeh Sakina, Kehti Thi Yeh Sakina

Zakhmi hai Tu Kyn Itna, Zakhmi Hai Tu Kyn Itna 

Maqtal Me Kya Hoa Bata...... Zuljanah

Mere Baba Ke Zuljanah






Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawari jaati hai.

 

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai 

Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

 

Hum shakl e Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,

Hum shakle Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Sar peet rahi hai maañ dukhiya

Akbar ki sawaari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

 

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka 
Akabar ki sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 
Akbar ki sawari jaati hai.

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

 

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar,

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma 
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

 

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi,

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi, 
Use kaise batayeñ ye baba 
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai.

 

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,
Afsos na raas aaya sehra 
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

 

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi,

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi, 
Maadar ke laboñ par hai nauha 
Akbar ki saawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

 

Jaao Akbar, jaao Akbar

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar,

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar, 
Deta hai sada boodha baba 
Akbar ki saawari jaati.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila


COMING SOON LYRICS 

Noha | Shimr Khanjar Na Chala Recited By | Mir Hasan Mir Written By | Janab Hasnain Akbar Composition | Janab Waheed Kamaliya Audio Mix & Master | ODS Karachi Video & Editing By | Ali Arman - TNA Production Translation | Ahmed Virani (USA) Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative

COMING SOON LYRICS



Kalam | Battis Baras Ka Sath 
Recited By | Syed Raza Abbas Zaidi  
Poetry By | Zeeshan Abidi 
Composition | Syed Raza Abbas Zaidi 
Istefada e Misra : Bhai Ke Leyay Mout Hai Bhai Ke Judai ( Hazrat Sarkar e Meer Anees)
Chorus By | Munawer Ali Khan , Rajab Ali Khan , Amanat Ali Khan Ghulam Abbas  
Translation | Taqi Raza & Syeda Aazeen  (USA)
Video Editing | Tna Production Ali Arman
Label | RAZ Records
Degital Partner | MobiTising 
Cover Design By | Yawar Abbas Damani 
Audio Recorded | ODS Studio
Master/Mixing | ODS Studio







Matam meri hayat tabarruq meri ghiza
Zinda mera wujood hai karbobala ke sath

Sadiyoñ se ab bhi jaari hai matam ka silsila
Zulm o jafa bujha na sake shamma e aza
Jalta hai ye charaagh hamesha hawa ke sath

Is matam e Hussain ke ghaazi haiñ saebaañ
Raushan alam se ho gaeñ tareeq bastiyañ
Ahl e aza azal se haiñ shaah e wafa ke sath

phir khauf e maut rehta hai unko bahal kahañ
jo zaereen jaate haiñ behre mashi wahañ
Dete haiñ rizq aaj bhi maula sakha ke sath

mashkeeza jese parcham e ghazi ke sath hai
Kaba khuda ka jese namazi ke sath hai
Bas yuhi zaereen haiñ khaak e shifa ke sath

hamko sitam shiyar bhala kya mitaenge
Bid’at ke fatwe ashko mein sab doob jaenge
Jeete haiñ hamto madar e sheh ki dua ke sath

Paani tawaaf karta h ghaazi ki qabr ka
Kaba h goya qabr, sujaat ka, sabr ka
Ye alqama ka rishta hai ab bhi wafa k saat

zikre e gham e Husaain ka aijaz delhiye
Kausar ko meri aankh pa hai naaz dekhiye
Chalki hui furat hai ashq e aza ke sath

har aik rang o nasl ke insan dosto
Sabke diloñ meiñ aik hai armaan dosto
Ghazi bula leñ sabko sahar ki hawa ke sath

Amir ko aur Toosi ko karbobala mili
Taskeen e dard ke liye khak e shifa mili
Gham bhi mila to hamko mila hai dawa ke sath



WAQT E AKHIR HUR KE BETE NE DI SADA
DAUDE HUSSAIN HUR SE BHI PEHLE BASAR BUKA
JIS DAM JAWAN LASHA UTHANE KO HUR BADHA
KANDHE PE RAKH KE HATH YEH SHABBIR NE KAHA

AYE HUR HATHO JAWAN KA LASHA NA UTAHAO
HAM LEKE LAASH AATE HAIN TUM QAIME ME JAO

ANDHER YEH KYA DASHT ME TUM KARTE HO BHAI
KAB,KISNE, JAWA'N BETE KI MAYYAT HAI UTHAYI
BAS PYAAR KARO BETE KO SEENE SE LAGAO
AB QAIME ME JAO

DAM TODGAYA SAAMNE NAZRON KE JAWA'N LAL
TERE DIL MALOOL KA HUM KO PATA HAI HAAL
MUH SE NA KAHO DARD E JIGAR LAAKH CHUPAO


HOTA HAI JAWA'N LAL ZAIFI KA SAHARA
IS LAAL KE MAR JANE SE HAM SAB KO HAI MAARA
PURSE KE LIYE AATE HAIN HAM FARSH BICHAO

MAI KHOOB JAANTA HOO JIGAR CHAAK CHAAK HAI
AB TERI ZINDAGANI E DUNIYA PE KHAAK HAI
MAT BAIN KARO LAASHE PE MAT KHAAK UDHAO

APNA SHAREEKE GHAM MUJHE SAMJHO AYE PUR MALAL
NUSRAT KE LIYE AAYA HAI YEH FATIMA KA LAAL
PHIR KYA MAJAAL BETE KI TUM LAASH UTHAO

LASHA JAWAN BETE KA KAISE UTHAOGE
MUJHKO KHABAR HAI DER TALAK JEE NA PAOGE
MAQTAL ME KHADE HOKE NA YUN ASHK BAHAO

MAQTAL KA KUCH HI DER ME MANZAR BADALGAYA
EK BAAP PHIR JAWAN KE LASHE PE HAI KHADA
AUR BEBASI YEH KEHTI RAHI ASHK BAHAO

HUR KE JAWAN BETE KO SHEH NE UTHAYA THA
AKBAR KI LASH KAUN UTHAYEGA AYE KHUDA
AYE SHAHE NAJAF SHEH KI MADAD KARNE KO AAO

AINEE KALEJA DEKHNE WALON KA PHATGAYA
AAMIR ZAEEF BAAP NE LAASHA UTHALIYA
KEHTA RAHA JO HUR SE KE NA LAASH UTHAO



SAB UJAR JAEGA ZEHRA KA MAKAN 
ASR KE BAAD
HOGA SHABBIR KE QAIME ME DHUWA ASR KE BAAD

SUBHE ASHUR TO DEDI ALI AKBAR NE AZA
KAUN DEGA BHALA MAGHRIB KI AZAN
ASR KE BAAD

RAAKH PE  KHAIMO KI ROTE HUAYE BACHE HONGE
DASHT ME HOGA QAYAMAT KA SAMA 
ASR KE BAAD

KAUN MASOOM SAKINA PE TARAS KHAYEGA
KAUN SAMJHEGA YATEEMI KI ZABAN 
ASR KE BAAD

LAASH ABBAS KI DARIYA PE TADAP JAEGI
JAB BHI UTHEGI SAKINA KI FUGHAN 
ASR KE BAAD

AYE SAKINA TERE KAANON SE LAHU TAPKEGA
HONGE CHEHRE PE TAMANCHON KE NISHAN 
ASR KE BAAD

APNA DIL KAISE SAMBHALEGI ALI KI BETI
RAM ME JAB ROYEGI SHABBIR KI MAA 
ASR KE BAAD

KAM SE KAM HAI ABHI BEEMAR KA BISTAR BAAQI
WARNA TAQDEER ME AARAM KAHAN ASR KE BAAD

AYE KHUDA SAYYAD E SAJJAD KO KHUWWATE ZABT
HOGA SHABBIR KA SAR AUR SINA ASR KE BAAD

KHATM KARDO YAHAN AYE AAMIR O NAYYAR NOUHA
KEH SAKOGE NA GHAMO KA SAMA ASR KE BAAD



TU HI ZARIYA 
TU HI HEELA 
MERI BAKSHISH KA WASILA 
HAR GHADI MERA WAZIFA 
MERE HAR GHAM KA MADAWA

 SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN

TU DEE'N KA SUTOON HAI TU DEE'N KA QARAR
MOHSIN HAI TU HI DEEN KA TU DEEN KA WAQAAR
KISSE MISAL DUN TERI KISME KARUN SHUMAR
RIFFAT KO TERI DEKH KE KEHTI HAI KARBALA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

BATIL HAR KE DAUR ME PATA RAHA ZAWAL
AUJE HUSSAINIYAT ME NA DEKHA GAYA ZAWAL
TERE ADU KA HISSA KHATA O SAZA ZAWAL
HAR DAUR TERI JEET HAI HAR DAUR KARBALA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

HOJATA SAB HALAK TABAHI KE ZAD ME THA
DEENE RASOOL E PAK TABAHI KE ZAD ME THA
INSAAN DARDNAAK TABAHI KE ZAD ME THA
JAA'N DEKH TU NE BAKSHI HAI HAR EK KO JALA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

BATIL BUTON SE HAQ KI TARAF RUKH KO MOD KAR
HUR AAYA JAB HAI SHAM KE LASHKAR KO CHORDKAR
KEHNE LAGA HUSSAIN SE YEH HAATH JOD KAR
RAB KI QASAM HAI RAHE JINA SAATH AAPKA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

MARQAD KI WEHSHATON KA MUJHE KOI GHAM NAHI
APNI MUSIBATON KA MUJHE KOI GHAM NAHI
AUR GHAM KE MARHALON KA MUJHE KOI GHAM NAHI
DETA HAR EK GHAM KO TERA GHAM HAI HAUSLA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

YEH JUSTAJU YEH HAQ KI TALABGARI KAM NA HO
MOULA TUMHARE GHAR SE WAFADARI KAM NA HO
MUSHKIL HO KOI BHI YEH AZADARI KAM NA HO
KARTE HAIN BAS KHUDA SE AZADAR YEH DUA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN×2

MOUJ E SITAM UTHEN BHI TO SAHIL NA CHUSAKEN
KALI GHATAYEN ZULM KI HAR SIMT CHAGAYEN
LEKIN TERI SHUWAON KI HAD TAK NA AASAKE
SURAJ TERI HAYAT KA ROSHAN RAHA SADA

BETE KI LASH DOSH PE THA RAB KA SHUKRIYA
KARKE SUPURD KHAK KIYA RAB KA SHUKRIYA
HAR GAAM PE TU KARTA RAHA RAB KA SHUKRIYA
TUJHKO SALAM SABR O TAHMUL NE KHUD KIYA

ITNI KAHAN THI FIKR E SHANWAR KI RAFFATEN
AAMIR JO ZAM HUSSAIN KI KARTA YEH AZMATEN
UNKI NAWAZSHISEN HAIN YEH UNKI INAYATEN
SOCHA THA BAS HUSSAIN KO AUR MISRA HOGAYA

SYED NA HUSSAIN HUSSAIN MURSHADNA HUSSAIN


COMING SOON LYRICS

Noha Khuwan: Syed Irfan Haider
Poet: Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi 
Audio: Lawa Studio
Sangat: Munawar Ali Khan, Rajab Ali Khan, Ghulam Abbas & Amanat Ali
Video: TNA Production
Creative: BH Graphics



LYRICS COMING SOON


Reciters - Hashim Sisters Noha
Title - Karbala Se Sham Tak 
Poetry – Ainee Rizvi 
Composition - Hashim Sisters 
Audio - Purevocal Studios (London, UK) 
Video - Br Morteza & Br Reza
Video Editing - Manzar Zaki 
Album - 2022 / 1444H, Vol. 17 Nohay 2022 



HAY
SHAAM KAY ZINDAN MAIN AIK CHOTI SI QAIDI
HAATHO MAIN PAO MAIN OR GARDAN MAIN HAI RASSI
OR SEENAY PAY BABA(a.s.) KA HAI SAR , SAR SAY HAI LIPTI
MOON PAY MOON KO RAKH KAY BOHOT DAIR WOH ROOYE
HAYYE ROTE ROTE USNAY JO LI AAKHRI HICHKI
ZINDAAN MAIN DUM TOR GAYEE SHAH(a.s.) KI PYARI

SAKINA(s.a.) SAKINA(s.a.)

KARTE THEY SAJJAD(a.s.) YEH NOHA
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)

KARTE THEY SAJJAD(a.s.) YEH NOHA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
======

QAIDI AGAR QAID MAIN MAR JATA HAI KOI
LAASH KO RASSI SAY CHURA DETAY HAIN USKI
HAYEE ZAKHMO MAIN PAIWAST RASSAN HAI TERE AISE
MAINE TERI LAASH SE RASSI NAHI KHOLI
LAASHA BIKHAR JAYE KAHIN NA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

 

KHOON RULATA HAI YEH MANZAR MERI BEHNA
JISM TERA KHOON MAIN HAI TAR MERI BEHNA
HAATHO PAY LASHA HAI TERA SOCH RAHA HOON
GHUSL KO PANI BHI MAYASSAR NAHI BEHNA
TU HI BATA DE MERI BEHNA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
======

KAISI MUSEEBAT YEH PARI DOOR WATAN SE
BABA(a.s.) BHI MEHROOM HAI OR TU BHI KAFAN SE
CHAHOO CHURANA TO CHURA BHI NAHI SAKTA
KHOON BHARA KURTA JO CHIPKA HAI BADAN SE
TERA KAFAN HAI YEHI KURTA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
======

YAAD MUJHE ATA HAI AY GHUM ZADA KHUWAHAR
MUJHSE YEHI POOCHTI REHTI THI TU AKSAR
DAFAN MAIN HOJAO AGAR QAID E SITAM MAIN
SHIMR(l.a.) NA AJAYE KAHIN MERI LEHAD PAR
AB ISI ZINDAN MAIN DUKHIYA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
======

TU HI NAHI TERI TO SAANSAIN BHI THI QAIDI
DEKHI NAHI PEHLE KAHIN AISI ASEERI
SONA JO CHAHA TO TUJHE NEEND NA AAYE
RONA JO CHAHA TO TAMACHO KI SAZA THI
HOGI TERI QABAR BHI TANHA

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

 

MAZHAR O FARHAN YEHI BAAT HAI NOHA
HAATHO PAY EK QAIDI KAY EK QAIDI KA LAASHA
KAISE BANDHE HAATHO SAY MAIN QABAR BANAO
SAB KO RULATA THA YEH SAJJAD(a.s.) KA JUMLA
HAAYE WOH SAJJAD(a.s.) KA KEHNA..

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)

KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)
KAISE MAIN DAFNAON SAKINA(s.a.)

SAKINA(s.a.)






Karbobala me phayla tha her samt shor o shayn
Teero(n) per gir rahay thay rayhwar say Hussain (as)
Ro Ro Kay ker rahay thay Madar say apnay bayn
Saara laho badan ka tu maqtal me beh gaya
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya

Ankhon se ashk Dill se tapak-ta hai ab lahoo
Amman meri nazar mein andhe-ra hai chaar su
Tan per libaas bhi nahin choreingey  yeh adu
 
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya
Saara laho badan ka tu maqtal me beh gaya
Amma(n) mayra Janaza bhi teero(n) pay reh gaya

Itnay lagay hain teer badan, taar  taar hai
Zakhmon mein jalti reyt se dil, beqaraar hai
Moonis faqat Hussain ka par-war digar hai

Aankhon ka Noor leygaya Lay-la ka noore ain
Be noor ran mein hogaya am-maan tera Hussain
Marney ke baad bhi, na milayga  sukoon o chaiyn 

Laasha Hassan ke laal ka paa -maal hogaya
Khoon se libaas shaadi ka sab, laal hogaya
Kubra ke dil ka ghum, se bura haal hogaya 

Abbas bhi chala gaya maq-tal mein chor kar
Darya pe soraha hai kamar, meri tor kar
Amaan batado bhaa-i ko darya pe dorkar

Teere sitam se sooya hai maq-tal mein sheer khaar
Asghar ki qabr khod ke Roo-i hai zulfiqaar
Dil ko Rabab ke, na milay ga kabhi qaraar

Amman sitam garo se bacha, lo Hussain ko
Shimr e laen se barhke chura, lo Hussain ko
Goadi mein phir se ap-ni sulaalo Hussain ko

Amman tumharay laal pa hai, waqt yeh kara
Hai shimr apne haathon mein khan-jar lieay khara
Zainab ki be rida-i ka ehsaas hai bara

Subhan katt gaya shahe maz-loom ka gala
Roti rahi janazay pa be-tay ke fatima
Ab bhi hai lab pa Ha-shimi behno ki yeh sada