Ay Shah e Karbala Lyrics Karbalai Brothers New Nohay 2022




Ya Hussain As Ya Hussain As
Syed e Man Hussain As
Waali e Man Hussain As
Qibla e Man Hussain As
Kabaa e Man Hussain As

Ya Hussain Ibn e Ali as tum say Wada ye raha
Hasher tak maa ko teri dengay tumhara pursaa

Jab talak jaan mei jaan
Aye karengay yunhi tera matam bapaa Aye shah e karbala
Murtaza As kay pisar
Mustafa As kay gohar
Dilbar e Syeda Sa
Aye Shah e karbala

Roz e mehshar Khuda sab say farmayega faisla ye hai jannat mei wou jayega
Jiska seena wilayat say sarshar hai wou jou Aal e Muhammad saws ka hubdaar hai
Kijiyega karam hum pay roz e jazaa hai yahi iltejaa  aye shah e karbala

Bin teray chain is dil ko milta nahi hai tamana jahan tu rahun mei wahin
Teray rozay ki chokhat pay rakhun mei sar choomun deewar o dar waaliye behr o bar
Jaan e koun o makaan Rooh e arz o saman
Naaz e khairul waraa aye shah e karbala

Saari duniya Mukhalif bhi hou jaye gar ye azadari yunhi karegi safar
Chahay kat jayein sar chahy lut jayein ghar jiska  dar karbala hou ussay kiska dar
Apkay ishq mei shehad jesa hi hai mout ka zaiqa aye shah e karbala

Ye sabeelein lagin aur langar lagay mushkilein mushkilon mei pari rah gayein
Majlisein bhi huin aur Alam bhi uthay apni manzil ki jaanib ye barhty rahay
Koshishein tou huin phr bhi ruk na sakaa apka kaafila aye shah e karbala

Karbala har kisi ka muqadar nahi ishq ka ye safar har koi kiyn karay
Apkay hi taraf sy unhein hukm hai be ijazat yahan koi aa na sakay
Bas wou zair bana Mola Abbas as ka izn jisko mila aye shah e karbala

Qiblaa Ya Hussain as
Kabaa ya hussain as
Mola ya hussain as
Aqaa ya hussain as
Meray sardar Hussain as
Meray Mukhtar Hussain as
Aye rozay pay teray hum azadar hussain as
Hath seenay pay rakhay kahty hain sab Ahl e aza
Aur kiya chahye un nigaahon ko jou dekh lein karbala Aye shah e karbala

Tang daman hun ye mujh ko ehsas hai waarnay kay liye kiya Meray pas hai
Ik kamaa aur zanjeer laya hun mei teri khatir lahuu mei nahaya hun mei
Matam e shah mei zakhm jitnay lagay sab nay rou kar kaha aye shah e karbala

Muslim o joan hon ya kay hur aur habib sab kay sab bawafaa sab kay sab khushnaseeb
Akhri waqt aya jab unkay qareeb sab nay di ye sadaa aye gamon kay tabeeb
Haq adaa hogaya bandagi ka meri hou kay tum pay fidaa aye shah e karbala

Thaa zaeefi ka jou wou sahara gaya tera karyal jawaan laal mara gaya
Qasim e khastatan bhi judaa hogaye nehr pay jaa kay Abbas as bhi sogaye
Dekh kar ye sitam bebasi par teri rou diye Mustafa saws aye shah e karbala

Fatahe karbala ka fidayi hai tu hukm e shabeer say karbalai hai tu
Jiski piyasi hai duniya wou saagar hai tu
Asmaan e wilayat ka akhtar hai tu
Ahle aflaak bhi daad denay lagay jab ye noha parha aye shah e karbala
Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.