Showing posts with label nohay2021. Show all posts
Showing posts with label nohay2021. Show all posts


Download


 
KAISI YEH SHAM AAI AULAD E SYEDA PAR
Sajjad  Ro Rahe hain Zainab s.a se munh chupa kr
KAISI YEH SHAM AAI AULAD E SYEDA PAR

Ik Samt Be kafan Hai Bhai ka uske lasha
Abbas ki behn ka baaqi raha na parda
Ab Sochti Hai zainab Mangey kafn ya chadar

Bazu Kahein parey hain Lasha Kahein para hai
Zainab ki babasi pe Pr Ghazi trap raha hai
Roti hai Bekasi bhi Farsh e Aza Bicha kr

Jo ghar me do qadm bhi paidal nhi chali hai
Ik din me wo hi zainab  Abbas  ban gai hai
Pehre Pe Agai hai Tanha alam utha kr

Sajjad  Se Lipat kr Kehti rahi sakina  
Ehsas ho raha hai me hogai Yateema
Zalim dara raha hai Naiza dikha dikha kr

lashon K darmiya Wo Baba ko dhondhti hai
Munh apna peet kr ye faryad kr rahi hai
Qadmo mein Hi sula do baba mujhe bulakr

Jab agaye najaf se bati ko Milne baba
zaano pe Rakh k sar ye Kehne lagi wo dukhiya
Zainab s.a ujar gai hai karbobala basa kr

Khaimo k sath jhola bistr bhi jal gaya hai
Namoos e mustafa s.a.w.w ko baghi kaha gaya hai
Ley jayenge Subha ko qaidi Hume banakr

Guzregi Kese yawer maqtal se shahzaadi
ABid ne Raat momin Ye soch kr Guzari
Zainab  Ka naam lega Zalim to muskurakr
Syed Raza Abbas Zaidi nohay 2021

 
NohayAudioVideo/Lyrics
HARAMMDownloadClick here
Ghareeb Ka Ghareeb SarDownloadClick here
Tadfeen Shahzadi SakinaDownloadClick here
Athara Baras In Hathon Se
DownloadClick here
Mara Gaya Dariya Pe
DownloadClick here





Mazloom E Karbala
Zabih E Karbala
Qateel E Nainawa

Saidaniya'n Karti Hain
SHABBIR Tera Matam

Ayi Waris E QUR'AANAM-2X
Ayi SHAH E SHAHEEDANAM
SHABBIR Tera Matam

Hayee.....

Be Sar Hain Sabhi Laashe, Pamali Ki Zad Par Hain
Jalti Huyi Reti Par, Sadaat Khule Sar Hain
Aur Nauha Kuna Aalam - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Naizo'n Ka Ghana Jungle, Aur Raat Ka Sannata
Pehre Pe Nabizadi, Karti Hai Yahi Nauha
Lachaar Huye Ab Hum - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Hayee....

Beto'n Ko Nahi Roti, Ghumkhwar Teri Khwahar
GHAZI Ko Bulati Hai, Ek Hath Rakhe Dil Par
Bechain O Dilafgaaram-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Ab Lootne Aate Hain, Sadaat Ko Ye Zalim
Kis Darja Rulate Hain, Sadaat Ko Ye Zalim
Ab Jayein Kaha'n Purghum-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Hayee....

Haq Teri Muhabbat Ka, Kulsoom Ada Karti
Aulad Agar Hoti, To Tujh Pe Fida Karti
Karti Hai Bapa Paiham - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Baba Hain Kahan Mere, Hain Bain SAKINA Ke
Mar Jaungi Ro Ro Ke, Bin SHAH E MADINA Ke
Kya Isko Batayein Hum - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Be Parda Behan Teri, Bazaar Mein Jayegi
Amma Ki Tarha ZAINAB, Darbar Mein Jayegi
Kya Is Se Bara Hai Ghum - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Humsheer Rasan Basta, Jab Qaid Mein Jayegi
Zinda Mein Tera Matam, Ek Roz Karayegi
Be Monis O Be Yaram-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Hayee....

Jee Bhar Ke Kiya Matam, ABBAS E DILAWAR Ka
QASIM, ALI ASGHAR Ka, HUMSHAKL E PAYAMBAR Ka
Ta Hashr Karenge Hum-2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

Ye Mazhar O Mesum Ki Din Raat AZADARI
Manzoor Karain ZEHRA Ye Nauho'n Ki Tayyari
Ek Pal Bhi Nahi Ho Kam - 2X
AYE SHAH E SHAHEEDANAM

YA HUSSAIN (as)


Haye Haye Haye SAKINA
Haye Haye Haye SAKINA

Mere Baba, Main Karu Kya
Khaak Par Neend Nahi Aati Hai-4X

Yad.. Yad Aata Hai Mujhe Reh Reh Kar
Aap.. Apka Seena Tha Mera Bistar
Aaj.. Aaj Ye Waqt Para Hai Baba
Khaak.. Khaak Bistar Hai Andhera Chadar
Din Tarap Kar Main Guzaru'n
Rat Matam Mein Guzar Jati Hai

Kau'n.. Kau'n Fariyad Sunega Meri
Sath.. Sath Hai Mere Meri Tanhai
Kaan.. Kaan Zakhmi Hai Jigar Zakhmi Hai
Khoo'n.. Khoon Kaano Se Abhi Jaari Hai
Koi Marham Na Dawa Hai
Maut Nazdeek Huyi Jati Hai

Shaam.. Shaam Ko Jaake Dar E Zinda'n Par
Roz.. Roz Main Dekhti Hon Ye Manzar
Laut.. Laut Ke Jayein Parinde Jab Ghar
Dil.. Dil Mera Rota Hai Bas Ye Keh Kar
Jaane Kab Main Jaaugi Ghar
Kab Rihayi Ki khabar Aati Hai

Haye.. Haye Wo Shaam E Ghariba'n Baba
Bhool.. Bhool Sakti Hi Nahi Ye Dukhiya
Aag.. Aag Khaimo Mein Lagi Jab Baba
Jal.. Jal Gaya Aag Se Daman Mera
Keh Rahi Thi Main Ye Khud Se
Tu Yateemi Ki Saza Paati Hai

Neel.. Neel Dekho Mere Rukhsaro'n Ke
Ye.. Ye Tamacho'n Ke Nisha'n Hain Gehre
Main.. Main Jo Roti Hon Tumhare Ghum Mein
Maar.. Maarta Hai Mujhe Zalim Aake
Jism Qaidi Rooh Qaidi
Ye Aseeri Mujhe Tarpati Hai

Jaan.. Jaan De Doongi Yahi'n Ro Ro Kar
Maut.. Maut Jeene Se Yahan Hai Behtar
Aap.. Aap Talqeen Parhana Meri
Ek.. Ek Ahsaan Ye Karna Mujh Par
Chain Se Main Mar Sakugi
Ek Yahi Aas Nazar Aati Hai

Bain.. Bain Jo MAZHAR O MESUM Ne Parhe
They.. They Yahi BALI SAKINA Ne Kahe
Sath.. Sath Gar Aap Hamare Hote
Hai.. Hai Yaqee'n Thaam Ke Dil Ro Dete
Kya Jaha'n Mein Koi Ummat
Yu'n Yateemo'n Pe Sitam Dhaati Hai

Mere Baba, Main Karu Kya
Khaak Par Neend Nahi Aati Hai


Haye MUSLIM E GHAREEB AS
Haye MUSLIM E GHAREEB AS

Logo'n  Ye Shehar E Kufa, MUSLIM AS Ki Karbala Hai
Ek Be Watan Yahan Bhi Faujo'n Mein Ghir Gaya Hai

Logo'n  Ye Shehar E Kufa, MUSLIM AS Ki Karbala Hai

Ashoor Se Bhi Pehle Ashoor Ka Hai Manzar
Khush Ho Rahe Hain Zalim MUSLIM AS Ka Khoon Baha Kar
Talwar Hai Laee'n Ki, Mazloom Ka Gala Hai

Barse Hain Teer Is Par Mare Gaye Hain Neze
Laakho'n Se Phir Bhi MUSLIM AS Larta Raha Akele
Na Bhai Hai Na Bete, Na Koi Aasra Hai

Haye..Haye..Haye..

Phenka Gaya Hai Jis Dam Inko Bulandiyo'n Se
Awaaz Tootne Ki Aai Thi Pasliyo'n Se
Mazloom Ke Labo'n Par, Bas Haaye SYEDA SA Hai

Hota Gaya Izafa Bekas Ki Bekasi Mein
Khencha Gaya Hai Laasha Koofe Ki Har Gali Mein
SHABBIR AS Ki Tarha Se, Sar Jism Se Juda Hai

Kufe Mein Dar Ba Dar The MUSLIM AS Ke SHAHZADE
Apne Padar Ko Aakhir Kaise Kafan Wo Dete
SAJJAD AS Par Jo Aya, Waisa Hi Marhala Hai

Qasid SHAH E HUDA AS Ka Pyasa Tha Be Watan Tha
Chalees Din Huye The Laasha Bhi Be Kafan Tha
Jo SHEH AS Ke Saath Hoga, Sab Kuch Wahi Hua Hai

AZLAN aur MESUM Tha SYEDA SA Ka Nauha
Haye Mere Laal Tujh Ko Mara Gaya Hai Pyasa
MUSLIM AS Ki Laash Par Bhi, ZEHRA SA Ki Ye Buka Hai..

Logo'n  Ye Shehar E Kufa, MUSLIM AS Ki Karbala Hai

Urdu Lyrics:

ہائے مُسلمِ غریب ع
ہائے مُسلمِ غریب ع
 لوگوں یہ شہرِ کوفہ، مُسلم ع کی کربلا ہے
ایک بے وطن یہاں بھی، فوجوں میں گھر گیا ہے
لوگوں یہ شہرِ کوفہ، مُسلم ع کی کربلا ہے
 عاشور سے بھی پہلے عاشور کا ہے منظر
خوش ہو رہے ہیں ظالم مُسلم ع کا خوں بہا کر
تلوار ہے لعیں کی، مظلوم کا گلا ہے
 برسے ہیں تیر اس پر مارے گئے ہیں نیزے
لاکھوں سے پھر بھی مُسلم ع لڑتا رہا اکیلے
نہ بھائی ہے نہ بیٹے، نہ کوئی آسرا ہے
ہاے ۔ہاے۔ ہاے-
پھینکا گیا ہے جس دم ان کو بلندیوں سے
آواز ٹوٹنے کی آئی تھی پسلیوں سے
مظلوم کے لبوں پر، بس ہائے سیدہ س ہے
 
ہوتا گیا اضافہ بے کس کی بے کسی میں
کھینچا گیا ہے لاشہ کوفے کی ہر گلی میں
شبیر ع کی طرح سے، سر جسم سے جدا ہے
کوفے میں در بدر تھے مُسلم ع کے شاہزادے
اپنے پدر کو آخر کیسے کفن وہ دیتے
سجاد ع پر جو آیا، ویسا ہی مرحلہ ہے
 قاصد شہ ہدیٰ ع کا پیاسا تھا بے وطن تھا
چالیس دن ہوئے تھے لاشہ بھی بے کفن تھا
جو شہ ع کے ساتھ ہوگا، سب کچھ وہی ہوا ہے
 ازلانؔ اور میثم تھا سیدہ س کا نوحہ
ہاے میرے لال تجھ کو مارا گیا ہے پیاسا
مُسلم ع کی لاش پر بھی، زہرا س کی یہ بکا ہے
لوگوں یہ شہرِ کوفہ، مُسلم ع کی کربلا ہے




HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA

HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA

HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA


BABA(a.s.)


HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA


HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA

HAI DARD BARA


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AISI ULJHI HAI KALEJAY MAIN YEH BARCHI BABA(a.s.)

SATH BARCHI KAY KALEJA BHI NIKAL AYGA

WAQT MUSHKIL HAI BARA KHUD KO SAMBHALO BABA(a.s.)


BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA

HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA


WAAR ZAALIM KA THA AISA MAIN SAMBHAL NA PAYA

USNE SEENAY MAIN HI BARCHI KI ANEE KO TORA

MUJH KO IS DARD KI MUSHKIL SAY NIKALO BABA(a.s.)


BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AB TO KUCH DAIR MAIN JAAN MERI NIKAL JAYGE

PHIR KABHI BEHNA MERI MUJH SAY NA MIL PAY GE

HO SAKAY TO MERI SUGHRA(a.s.) KO BULALO BABA(a.s.)


BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


BABA(a.s.) JAN LASH MERI KHAIMO MAIN JAB JAY GI

MAAN(s.a.) TO YEH HAAL MERA DEKH KAY MAR JAY GI

ZAKHAM SEENAY KA KISI TARHA CHUPALO BABA(a.s.)


BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


HAY ASHK RUKHSAAR PAY RAASHA HAI TERE HAATHO MAIN

YEH BHI MUSHKIL HAI KAY BEENAY NAHI AANKHO MAIN

TUM MADAD KAY LYE DADA(a.s.) KO BULALO BABA(a.s.)


BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


ZABT FARHAN QAYAMAT HAI LIKHAY KIA MAZHAR

AAKHRI BAAT YEHI KEH KAY SIDHARAY AKBER(a.s.)

YA ALI(a.s.) KEH KAY MERA LAASHA UTHALO BABA(a.s.)



BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)



AAKHRI WAQT HAI DIL APNA SAMBHALO BABA(a.s.)

BARCHI AKBER(a.s.) KAY KALEJAY SAY NIKALO BABA(a.s.)


HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA

HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA


HAY BABA(a.s.) HAI DARD BARA



Ya Ali (as) Adrikni

Ro Ky Bazar Main Daiti Thi Sada Binte Ali (as)
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Nok e Neza Sy Sada Daita Hai Ibn e Zehra (sa)
Log Zainab (sa) Ki Taraf Dekh Rahay Hain Baba
Zair e Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Baiti
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Imtehan Ghairat e Sajjad (as) Ka Kaisa Hoga
Qatal Darbar Main Sajjad Dobara Hoga
Mangnay Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Main Shaaqi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Kehdo Zalim Sy Mujhay Mar Ly Akar Dur’ra
Baba Zainab (sa) Sy Yea Manzar Nahi Dekha Jata
Marta Hai Who Meray Bhai Ky Honton Py Chari
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Sar Khulay Sham Main Sadat, Jidhar Jatay Hain
Log Pathar Liye Pehle Hi, Nazar Atay Hain
Ajj Bazar Main Mar Jaye, Na Koi Bibi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

App Ky Samne Jo Baat Nahi Karti Thi
Ajj Bazar Main Woh Baiti Bhi Khutbay Degi
App Ky Lehjay Ki Is Waqt, Zaroorat Hai Bari
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Abhi Darbar Sy Pehle Hi, Guzar Jayegi
Sun Liya Sani e Zahra (sa) Ny To Mar Jayegi
Log Kehte Hain Hussain (as) Ibn Ali (as) Ko Baghi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Saray Bazar Ny Hans Hans Ky, Tamasha Dekha
Aur Bhi Shimr Ny Is Baat Py, Is Ko Mara
Jab Tamanchon Py Sakina (sa) Yea, Tarap Kar Boli
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

Bab e Sa’at Ka Jo Bazar Sy Dekha Manzar
Thay Takallum Wahan Sub Log Uthaye Pathar
Sani e Zehra (sa) Yea Kehti Hui Naqay Sy Giri
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni

 

 ہاے

بیان  کرتا  ہوں  زنداں میں کیا   قیامت تھی
غریب  بابا   سے  جسدم   غریب   بیٹی  ملی
وہ اپنے  بابا  کے  سر سے لپٹ کے  رونے  لگی
تڑپ  کے  لی  جو  سکینہؑ   نے   آخری  ہچکی
کلیجہ  پھٹتا   ہے   کیسے   سناؤں  وہ  منظر
رکھے تھے بیٹی نے رخسار   باپ  کے  منہ  پر

اندھیری  قید  میں  پھر  کیا   ھوا  سنو  آگے
بہن کو دیکھا جو بابا کے سر  سے لپٹے  ھوئے
تڑپ  کے   بالی   سکینہؑ   کے   پاس  آ  پہنچے
جو   نبض  دیکھی  تو  سجادؑ  نے  کہا  روکے
اُٹھارہی تھی جوغم اب وہ تھک گئی غم سے
پھوپی  ہماری  سکینہؑ   بچھڑ  گئی   ہم  سے

لرز  رھا   تھا   وہ    زندان   آہ   و  گریہ  سے
یہ   بولے   عابدِ  مضطر    غریبِ    زھراؑ   سے
چھڑاؤں کیسے  میں سر  آپ  کا  سکینہؑ  سے
ملی  ہے   کتنے  دنوں   بعد    اپنے   بابا   سے
بہت   غریب    ہوں  یہ   غم   اُٹھا  نہ  پاؤنگا
بہن کی  گود  سے  میں  سر  چھڑا  نہ پاؤنگا

سرِ   حُسینؑ    چھڑایا    جو    یاعلیؑ     کہکر
کہا   سکینہؑ   سے  تم   پر   سلام  اے  خواہر
نہ  جانے  کتنے ہیں احسان   آپکے  مجھ    پر
یہ  بھائی  کیسے  اُتارے   گا   قبر    کے   اندر
یہ  دیکھو  جکڑا  ہے  زنجیر  میں  ہمارا  بدن
تمہارا  لاشہ  نہ  بھائی  سے  اُٹھ سکے گا بہن

ستمگروں نے جو کربوبلا  میں  باندھی  تھی
گلے  میں   ہوگئی  پیوست   ھائے   وہ  رسی
چھنی  تھی  بالیاں  ہیں کان آج  بھی  زخمی
ستم کی  حد  یہ  ہوئی  آپ  مرگئیں  پیاسی
عیاں ہیں چہرےپہ ابتک نشاں طمانچوں  کے
چھپاؤں کیسے بھلا  میں  یہ  نیل  گالوں کے

وہ راہِ  شام  وہ  غربت  بھلاؤں  میں  کیسے
اک ایسا موڑ تھا غازیؑ  کا  سر  تھا  نیزے  پہ
جب  اُنکے  سامنے  لاکر   پکڑ   کے بالوں  سے
طمانچےمارےتھےظالم نےتمکوھنس ھنس کے
لعین   کہتا    تھا     عباسؑ    اب    نہ    آئیگا
نہیں ھے  کوئی  جو  دُروں  سے  اب  بچائیگا

پکاریں   لاشے   سکینہؑ    پہ    زینبِؑ   مضطر
یہ  کربلا  میں  قیامت   گزر    گئی   تم    پر
پھوپی کے ساتھ  کھڑی  دیکھتی  رہی  منظر
چلا تھا بھائی کے سوکھے  گلے پہ جب خنجر
کہا یہ  بھائی  نے  دو  میرا  ساتھ  اے  زینبؑ
رکھو سکینہؑ کی آنکھوں  پہ  ھاتھ  اے زینبؑ

پھوپی بھتیجے سےکہتی تھیں مت کروفریاد
تمہارا   ساتھ   میں   دیتی   ہوں سیدِ سجادؑ
پڑی ہے  ہم  پہ  قیامت  سے  بھی  بڑی  اُفتاد
تمہاری  طرح  میرے  ہاتھ  بھی   نہیں   آزاد
ھے  اب یہ  شام  کا   زندان  ہی   وطن  اِسکا
یہی   جلا   ہوا    کُرتا   ھے   اب   کفن  اِسکا

کہا     یہ     ثانیِ  زھراؑ     نے     بیبیوں    آؤ
جنازہ    بالی   سکینہؑ     کا     ساتھ   اُٹھواؤ
جو  اپنے  بابا  کو  روتی   تھی   اُسکو  دفناؤ
نہیں  ہے   پانی  تو  تُربت   پہ   اشک   برساؤ
وہ  رات  آئی  تھی  ذیشان  اور  رضا  کیسی
لحد  میں   سوگئی   بیٹی    غریبِ  زہراؑ  کی

 

 




نیزے پر۔۔۔۔

یا حُسین مولا حسین،  یا حُسین مولا حسینؑ
یا حُسین یا حُسین،  یا حُسین یا حُسینؑ
یا حُسین ؑ ہائے حسین ؑ،  یا حُسین ہائے حسینؑ

کس طرح ٹھہرے سرِ شاہِ وفا نیزے پر
شام تک جائے گی زینبؑ کی ردا نیزے پر

راہ میں پوچھا سکینہؑ نے جو باباؑ ہیں کہاں
خون روتے ہوئے عابدؑ نے کہا نیزے پر

قبر جس چاند کی چُھپ چُھپ کے بناتے تھے حسینؑ
رات ہوتے ہی وہی چاند چڑھا نیزے پر

شدت پیاس ہے تنہا ہے غریب زھرا
آگ اُ گلتا ہوا سورج ہے سوا نیزے پر

خون عابد کی طرح روتے تھے مظلوم حسین
چُھو کے چادر کو جو آتی تھی ہوا نیزے پر

میں نے پردے میں اِسے پالا ہے بولیں زینبؑ
سر مجھے شمر نہ اکبرؑ کا دِکھا نیزے پر

شام تک بالی سکینہؑ نے طماچے کھائے
شام تک روتے رہے شاہِ ھُداؑ نیزے پر

بعد میں مجلس شبیر ہوئی زنداں میں
پہلے مجلس ہوئی چادر کی بپا نیزے پر

صرف اور صرف حُسینؑ ابنِ علیؑ جانتے ہیں
کیسے ہوتی ہے اسد حمدِ خدا نیزے پر



Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaymon Main
Aye Mere Pyare Ali Asghar

Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, Haye Haye Ali Asghar
Haye Haye Ali Asghar

Zalim Ne Tujhe Qabr Se, Iss Tarha Nikala
Seene Pe Laga Jis Ghari, Beta Tere Naiza
Laashe Ko Tere Dekh Ke, Bola Sar-e-Akbar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar,
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Ankhon Ke Taare Ali Asghar

Haan Dil Tera Mil Jaye Toh, Khud Poch Lun Us Se
Kya Jurm Tha Chhe (6) Maah Ke, Bachhe Ka Bata De
Us Ny Toh Bulaya Nahi, Maa Bhi Mujhe Keh Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Ab Tak Meri Aankhon Se Woh Manzar Nahi Jata
Gardan Se Teri Khoon Tapak Ta Raha Beta
Rumaal Bhi Bandha Na Gaya Tere Galey Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Jis Teer Se Naqey Ko Giraate Hain Zameen Par
Woh Teer Laga Nanne Se Halqoom Pe Aa Kar
Tum Khoon Ugalte Rahe, Baba Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Tum Mar Gaye Yea Baat Woh Ab Tak Nahi Maani
Zid Kar Ti Hai Bhai Ko Pilaaungi Main Paani
Kooza Liye Maqtal Main Khari Hai Teri Khuwahar
Haye haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar

Majboor Thi Ghar Main Mere Pani Hi Nahi Tha
Warna To Dhula De Ti Main Yea Khoon Bhara Chehra
Dadi Sy Shikayat Nahi Karna Meri Jaa Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Maara Hai Sitamgar Ne Sakina Ko Tamacha
Ghazi Ki Tarha Tum Se Bhi Dekha Nahi Jaata
Band Aankhein Kiye Rote Ho Tum Noke Sina Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Sar Iss Liye Nezay Se Gira Dete Ho Apna
Godi Main Meri Aana Hai Shayad Tumhe Beta
Lekin Hai Bandhe Haath Utha Sakti Nahi Sar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Sajjad Woh Kehti Thi Chala Bhi Nahi Jaata
Do-Chaar Qadam Baad Hi Gir Jaati Hoon Beta
Meri Bhi Kamar Kham Hai Teri Lash Utha Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar,
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ky Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaymon Main
Aye Mere Pyare Ali Asghar


Ashur Dee Shab Vich Khaimian De Pyoo Puttar Noo Kuj Samjhanda Riya
Apnay Arman Sunanda Riya
Aye Raat Fazal Lang Jaan Te De Din Dasween Da Charh Jaan Te De
Fir Vaikheen Baba Kee Karda Ae, Hik Vari Vela Aan Te De

Jado’n Veer Hassan Dee Mayat Te Loka’n Teer Chalaye Sun
Main Vain Udoo’n Ve Paey Sun
Deva’n Badal Mein Naqsha Yasrab Da, Menoo’n Mola Tegh Chalan Te De

Ae Ghat Te Naeen Shehzadian Sub Menoon Chacha Ghazi Kaindian Nay
Mera Naam Adab Naal Laindiyan Nay
Menoo’n Naal Bhateejiyan De Mola Rishtay Da Maan Nibhan Te De

Kal Charda Suraj Vekhay Ga Kee Rang Meri Shamsheer Da Ae
Te Kee Matlab Takbeer Da Ae
Jang Fajar Tou Pehlan Muk Jaway, Ik Baar Akbar Azaan Te De

Ghar Ujraya Behan Ruqqaya Da Mera Muslim Koofian Mar Dita
Mein Rondiyan Dheeyan Takda Riya
Kar Fazal Duawan Ajj Mola, Menoon Behn Da Qarz Lohaan Te De

Jay Sham De Ik Ik Veray Chon Awaz Na Aaway Rowan De
Te Mera Naan Ve Ghazi Naeen
Bus Ma’n Zahra(sa) De Naa’n Mola, Menoon Apna Aap Azmaan Te De

Mein Verkhya Saen Rubab Meri Pae Gal Asghar Da Chumdi Ae
Baray Maan De Naal Ae Kaindee Ae
Rakh Hosla Pani Aaway Ga, Ghazi(as) Noo Nehr Te Jan Te De

Ae Karbal Ae Koee Yasrab Naee’n Dar Pak Batool Da Jal Jaway
Te Baba Tegh Ve Na Chaway
Mein Sham Te Kufa Saar Dawan, Koee Ag Da Ajj Farman Te De

Mein Aaqazadi Zainab(sa) Dee, Akh Wich Athroon Naeen Tak Sakda
Onoo’n Maan Ae Meri Baanwa’n Da
Mera Sar Lathda Ae Lath Jaway, Bus Saen Da Veer Bachaan Te De

Akbar Kahway Ghazi(as) Aj De Laee, Menoon Maan Zahra(sa) Ne Mangya See
Maan Um-ul-Baneen(sa) Nay Dasya See
Bhawain Neza Ve Na Deway Menoon, Buss Mola Maqtal Jaan Te De