GHAM E HUSSAIN MANANA Lyrics | Ahmed Raza Nasiri | Nohay 2021 Muharram 1443

 
 
Gham e Hussain a.s manana bohat zaruri hai
Hussaini shama jalana bohat zaruri hai

Qadam qadam pe zamana mizaj badlay ga
Usool badlenge sara samaj badlay ga
Agr hayat ho behtar tw raaj badlay ga
khuda ka deen bachana bohat zaruri hai

Tamam aalam e islam ko batana hai
Usool din ka rasta hamy dikhana hai
Sadaqato ka musalla hamy bichana hai
Alam jari ka uthana bohat zaruri hai

Wo karbala hai jaha kufr ka bharam toota
Yazeed jeet ke dunya me hogaya ruswa
Maqam e hazrat e shabbir a.s sarbuland raha
Ye dastan sunana bohat zaruri hai

Nishan e matam e Shabbir a.s ki sada hai ye
Hamy yaqeen hai ashko ki iltija hai ye
Jinab e fatima zahra s.a ki b dua hai ye
Aza ka farsh bhichana bohat zaruri hai

Khuda ka noor sina pr quran prhta raha
Nabi saww ka chehra ali a.s ka jalal kehta raha
Wo jiska paak irada sada ye deta rha
Yazeediat ko mitana bohat zaruri hai

jamal e arsh e mualla zameen e karbobala
Rasool Zade ne isko ye martaba baksha
Ke khak khak nhi khak hai ye khak e shifa
Jahan jabein ko jukana bohat zaruri hai

Namaz e ishq e mawaddat prhi bahattar ne
Zamanay bhar ko bataya hussaini lashkr ne
Hamy ye dars dia karbala ke mimbar ne
Amal se ishq dikhana bohat zaruri hai

Nigah e fikr ye kehti rahi mujay yawer
Imam e waqt kay lashkr ki aarzu ho agr
Dar e Hussain a.s se naslo ko zindagi dekr
Wafa shuar banana bohat zaruri hai
Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.