Showing posts with label lyrics. Show all posts
Showing posts with label lyrics. Show all posts




Maqtal Imam Hussain as

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Aati Thi Yaad Bali Sakina Hussain

Naizey Ki Nook Mar Kay Pasli May Bar Bar
Jalti Zameen Pey Zeen Say Giraya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Pathar Kisi Nay Marey To Phenki Kisi Khaak
Run May Kisi Nay Balon Say Khencha Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Khanjar Chala Raha Hy Wo Seene Pa Beith Kar
Aray Beti,Aray Bachi Naa Aa Kay Dekh Ley Baba Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Ek Maa Nay Baal Kholay Hain Bilkul Usi Jaga
Jis Jaa Pey Shamiynu Nay Giraya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Sattar Qadam Say Dekh Ky Khanjar Kabhi Gala
Zainab Nay Tera Baar Pukara Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Zibha Kay Wakqt Dete Hain Paani Zabih Ko
Maqtal May Qatal Krdia Piyasa Hussain

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Khanjar To Sirf Piyase Ki Gardan Pey Chal Gaya
Abbas Teri Mout Nay Mara Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Zeeshan Pasliyan Thi Shikasta Bawaqt e Dafan
Abid Nay Kis Tarhan Say Uthaya Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko

Aati Thi Yaad Baali Sakina Hussain Ko

Jab Shimar Marta Tha Tamacha Hussain Ko


COMING SOON LYRICS






Meray raaj dulharay
Meri Ankhon kay taaron

Maadar nay ye rou rou kay pukara Ali asghar as
Thaa mujh ko meri jaan say pyara Ali Asghar as

Rukhsat kay mei manzar ko bhula paongi kese
Deti hun mei Alooda e khoon kurtay ko bosay
Yaad ata hai jab chehra tumhara Ali Asghar as

Aagosh mei leti thee kabhi jhoola jhulaati
Ab kya karay roti hai tarapti hai bulati
Tha meri sakina sa ka sahara Ali Asghar as

Seenay say lagaongi bohat pyar karungi
Mei loriyan khud Naad e Ali as ki tumhay dungi
Aagosh mei ajao dubara Ali Asghar as

Tha kitna haseen phool kay jesa tera chehra
Na janay tujhay kiski nazar lag gayi beta
Sadqaa tou kayi baar utara Ali asghar as

Chaon mei na saye mei na bethungi kabhi bhi
Wadaa raha thanda kabhi pani na piyungi
Jeenay ka nahi koi bhi chara Ali Asghar as

Mazloom nay gardan sy teri khainch liya teer
Hathon mei uthaye tujhay le aye thy shabeer as
Mehshar ka nazar aya nazara Ali asghar as

Shish maahe ka bhi haye gala kata gaya hai
Tapti hui raiti pay tera lasha para hai
Maa kesay karay ghum ye gawara Ali Asghar as

Wou aj Naqi rotay hain bas Ahle Aza hi
Kiya karbobala hai ye haqeeqat jou khulegi
Royega jahan tujh ko ye sara Ali Asghar as



Ya Hussain As Ya Hussain As
Syed e Man Hussain As
Waali e Man Hussain As
Qibla e Man Hussain As
Kabaa e Man Hussain As

Ya Hussain Ibn e Ali as tum say Wada ye raha
Hasher tak maa ko teri dengay tumhara pursaa

Jab talak jaan mei jaan
Aye karengay yunhi tera matam bapaa Aye shah e karbala
Murtaza As kay pisar
Mustafa As kay gohar
Dilbar e Syeda Sa
Aye Shah e karbala

Roz e mehshar Khuda sab say farmayega faisla ye hai jannat mei wou jayega
Jiska seena wilayat say sarshar hai wou jou Aal e Muhammad saws ka hubdaar hai
Kijiyega karam hum pay roz e jazaa hai yahi iltejaa  aye shah e karbala

Bin teray chain is dil ko milta nahi hai tamana jahan tu rahun mei wahin
Teray rozay ki chokhat pay rakhun mei sar choomun deewar o dar waaliye behr o bar
Jaan e koun o makaan Rooh e arz o saman
Naaz e khairul waraa aye shah e karbala

Saari duniya Mukhalif bhi hou jaye gar ye azadari yunhi karegi safar
Chahay kat jayein sar chahy lut jayein ghar jiska  dar karbala hou ussay kiska dar
Apkay ishq mei shehad jesa hi hai mout ka zaiqa aye shah e karbala

Ye sabeelein lagin aur langar lagay mushkilein mushkilon mei pari rah gayein
Majlisein bhi huin aur Alam bhi uthay apni manzil ki jaanib ye barhty rahay
Koshishein tou huin phr bhi ruk na sakaa apka kaafila aye shah e karbala

Karbala har kisi ka muqadar nahi ishq ka ye safar har koi kiyn karay
Apkay hi taraf sy unhein hukm hai be ijazat yahan koi aa na sakay
Bas wou zair bana Mola Abbas as ka izn jisko mila aye shah e karbala

Qiblaa Ya Hussain as
Kabaa ya hussain as
Mola ya hussain as
Aqaa ya hussain as
Meray sardar Hussain as
Meray Mukhtar Hussain as
Aye rozay pay teray hum azadar hussain as
Hath seenay pay rakhay kahty hain sab Ahl e aza
Aur kiya chahye un nigaahon ko jou dekh lein karbala Aye shah e karbala

Tang daman hun ye mujh ko ehsas hai waarnay kay liye kiya Meray pas hai
Ik kamaa aur zanjeer laya hun mei teri khatir lahuu mei nahaya hun mei
Matam e shah mei zakhm jitnay lagay sab nay rou kar kaha aye shah e karbala

Muslim o joan hon ya kay hur aur habib sab kay sab bawafaa sab kay sab khushnaseeb
Akhri waqt aya jab unkay qareeb sab nay di ye sadaa aye gamon kay tabeeb
Haq adaa hogaya bandagi ka meri hou kay tum pay fidaa aye shah e karbala

Thaa zaeefi ka jou wou sahara gaya tera karyal jawaan laal mara gaya
Qasim e khastatan bhi judaa hogaye nehr pay jaa kay Abbas as bhi sogaye
Dekh kar ye sitam bebasi par teri rou diye Mustafa saws aye shah e karbala

Fatahe karbala ka fidayi hai tu hukm e shabeer say karbalai hai tu
Jiski piyasi hai duniya wou saagar hai tu
Asmaan e wilayat ka akhtar hai tu
Ahle aflaak bhi daad denay lagay jab ye noha parha aye shah e karbala



ہائے عباس علمدار
کربوبلا کے بن میں زینب کا تھا یہ نوحہ

دل میں بسایا تیرا ارمان فاطمہ نے
مانگا تھا تجھ کو رب سے سجدوں میں مرتضی نے
لاشے پہ باوفا کے کہتی تھی بنتِ زہرا


بیٹی کو شاہِ دیں کی دروں سے مارتے ہیں
اولادِ مصطفیٰ کو باغی پکارتے ہیں
ہر سمت ہیں ستمگر کوئی نہیں ہے اپنا

نیزوں سے مارتے ہیں برسا رہے ہیں پتھر
ہر سمت سے ستمگر کرتے ہیں وار اِس پر
حامی نہیں ہے کوئی دلبندِ فاطمہ کا


آئے نہیں پلٹ کر مقتل میں جو گئے ہیں
اٹھارہ میرے بھائی مقتل میں سو گئے ہیں
چادر بھی چھن گئی ہے سر پر نہیں ہے سایہ

بھائی کی لاڈلی کو کوئی رُلا رہا ہے
آکر کوئی ستمگر خیمے جلا رہا ہے
برسا رہا ہے کوئی عابد پہ تازیانہ

کس کس کو میں سبھالوں کہتی ہے بنتِ زھرا
بچوں کو ڈھونتی ہیں امِ رباب و فروا
اکبر کو یاد کرکے غش کھا رہی ہے لیلیٰ

اے شمس کتنا پُر غم منظر تھا علقمہ کا 
لاشہ تڑپ رہا تھا عباسِ باوفا کا
جب تذکرہ ردا کا زینب کے لب پہ آیا



لبیک یا حسین، لبیک یا حسین

ہل من کی صدائیں آتی ہیں، بندوں کو یہی سمجھاتی ہیں
یہ رسم نہیں ہے کچھ دن کی، ہر یوم ہے یومِ عاشورا

لبیک یا حسین

ہونٹوں سے اگر لبیک کہو، لازم ہے اسے ثابت بھی کرو
یہ یاد رہے ہر روز عمل ، جاتا ہے مرا سوئے مولا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

ہے جنگ یہ حق اور باطل کی، پہچان لو شکلیں قاتل کی
ہر دور میں شہہ کے ماتم نے ، باطل کی نقابوں کو کھینچا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

تعلیم ہے بنتِ سرور کی، کیا فکر رہِ حق میں گھر کی
وہ ماں ہے جو حق پہ مرنے کو، تیار کرے اپنا بیٹا

لبیک یا حسین۔۔۔۔

غازی کا علم ہے ہاتھوں میں یا ایک قلم ہے ہاتھوں میں
وہ تھامے اسے جو لکھ بھی سکے ، مقتل میں لہو سے اپنی وفا

لبیک یا حسین

جس وقت میں حلقۂ ماتم میں، کرتا ہوں کہیں ماتم داری
ہوتا ہے نہاں جذبہ اس میں، اے کاش میں کربل میں ہوتا

لبیک یا حسین۔۔۔۔۔

لے کر وہ سویرا آئیں گے، جب تین سو تیرہ آئیں گے
پھر وقتِ ظہورِ قائم پر، اٹھے گا یہ کعبے سے نعرہ

لبیک یا حسین

اصغر کے گلے کا تیرِ ستم، قاسم کے وہ ٹکڑوں پر ماتم
دیکھو تاریخ کے سینے میں، موجود ہے اک پھل برچھی کا

لبیک یا حسین

حسرت جو ظہیر اس دل میں ہے، طارق کے لبوں سے کہہ دیجیے
اے کاش یہ نوحہٰ سن کر ہی، آجائیں زمانے کے مولا



COMING SOON LYRICS 


Noha Title | SAJJAD NA TERA BHAI RAHA Reciter | Ahmed Raza Nasiri Poetry | Kumail Zahoor Composition | Nayyer Abbas & Ahmed Raza Nasiri Video | SRS - Karachi Audio | ODS - Karachi Chorus | Arif Baltistani, Mir Basharat Baltistani, Mohammad Ali Moshi Baltistani, Ahmed Nasiri


Noha Lyrics Updating soon..



Zuljanah | Noha Imam Hussain as | Shahid Baltistani Nohay 2022 | Muharram Nohay 2022-1444

#Shahidbaltistani #zuljanah  #muharram 

Mere Baba Ke Zuljanah

Mere Baba Ke Zuljanah 

Kehti Thi Yeh Sakina, Kehti Thi Yeh Sakina

Zakhmi hai Tu Kyn Itna, Zakhmi Hai Tu Kyn Itna 

Maqtal Me Kya Hoa Bata...... Zuljanah

Mere Baba Ke Zuljanah






Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila Akbar ki sawari jaati hai.

 

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai 

Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

 

Hum shakl e Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,

Hum shakle Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Sar peet rahi hai maañ dukhiya

Akbar ki sawaari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

 

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka 
Akabar ki sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 
Akbar ki sawari jaati hai.

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

 

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar,

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma 
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

 

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi,

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi, 
Use kaise batayeñ ye baba 
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai.

 

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,
Afsos na raas aaya sehra 
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

 

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi,

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi, 
Maadar ke laboñ par hai nauha 
Akbar ki saawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

 

Jaao Akbar, jaao Akbar

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar,

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar, 
Deta hai sada boodha baba 
Akbar ki saawari jaati.

Khaimon me bapa hai wawaila 

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila


COMING SOON LYRICS 

Noha | Shimr Khanjar Na Chala Recited By | Mir Hasan Mir Written By | Janab Hasnain Akbar Composition | Janab Waheed Kamaliya Audio Mix & Master | ODS Karachi Video & Editing By | Ali Arman - TNA Production Translation | Ahmed Virani (USA) Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative

COMING SOON LYRICS



Kalam | Battis Baras Ka Sath 
Recited By | Syed Raza Abbas Zaidi  
Poetry By | Zeeshan Abidi 
Composition | Syed Raza Abbas Zaidi 
Istefada e Misra : Bhai Ke Leyay Mout Hai Bhai Ke Judai ( Hazrat Sarkar e Meer Anees)
Chorus By | Munawer Ali Khan , Rajab Ali Khan , Amanat Ali Khan Ghulam Abbas  
Translation | Taqi Raza & Syeda Aazeen  (USA)
Video Editing | Tna Production Ali Arman
Label | RAZ Records
Degital Partner | MobiTising 
Cover Design By | Yawar Abbas Damani 
Audio Recorded | ODS Studio
Master/Mixing | ODS Studio







Matam meri hayat tabarruq meri ghiza
Zinda mera wujood hai karbobala ke sath

Sadiyoñ se ab bhi jaari hai matam ka silsila
Zulm o jafa bujha na sake shamma e aza
Jalta hai ye charaagh hamesha hawa ke sath

Is matam e Hussain ke ghaazi haiñ saebaañ
Raushan alam se ho gaeñ tareeq bastiyañ
Ahl e aza azal se haiñ shaah e wafa ke sath

phir khauf e maut rehta hai unko bahal kahañ
jo zaereen jaate haiñ behre mashi wahañ
Dete haiñ rizq aaj bhi maula sakha ke sath

mashkeeza jese parcham e ghazi ke sath hai
Kaba khuda ka jese namazi ke sath hai
Bas yuhi zaereen haiñ khaak e shifa ke sath

hamko sitam shiyar bhala kya mitaenge
Bid’at ke fatwe ashko mein sab doob jaenge
Jeete haiñ hamto madar e sheh ki dua ke sath

Paani tawaaf karta h ghaazi ki qabr ka
Kaba h goya qabr, sujaat ka, sabr ka
Ye alqama ka rishta hai ab bhi wafa k saat

zikre e gham e Husaain ka aijaz delhiye
Kausar ko meri aankh pa hai naaz dekhiye
Chalki hui furat hai ashq e aza ke sath

har aik rang o nasl ke insan dosto
Sabke diloñ meiñ aik hai armaan dosto
Ghazi bula leñ sabko sahar ki hawa ke sath

Amir ko aur Toosi ko karbobala mili
Taskeen e dard ke liye khak e shifa mili
Gham bhi mila to hamko mila hai dawa ke sath