Main Hur Hu Lyrics - Ahmed Raza Nasiri Nohay 2021 - Muharram 1443

 
 
 Hur ko sheh e aalam ne jo aata hoa dekha
Farmaya barho sab , ye hai mehman hamara

Hur ne sar e sharmindagi is trha jhukaya
Khud ko shah e abrar ke qadmo me giraya

Bolay ke hai kia meri khata qabil e bakhshish ?
Ya phir meri taqdeer me hai shola e aatish ?

Farmaya ke tu aaj se aazad hoa hai
Kia khoob teri maa ne tera naam rkha hai

Hur izan e wagha leke jo medan mai pohchay
Sar apna utha kr sipah e sham se bolay

Hamrah meray Fatima zehra s.a ki dua hai
Mai hur hon mujay shah ne aazad kia hai

Ghumrahi e dora se mujay sheh ne nikala
Misbah e hidayat ne dia mujh ko ujala
Ab lashkar e batil se mera wasta kia hai

Barbad tha, ab ja ke mai aabad hoa hon
Mai hur tha magr aaj hi aazad hoa hon
Ye martaba touba ke sabab mujh ko mila hai

Moulai hon zillat mujay manzoor na hogi
Izzat se meri rooh kabhi door na hogi
Ye rah e wilayat hai yahi tarz e wafa haj

Seh roz ka piyasa hai Muhammad ka gharana
Bachay b hain zalim ki jafao ka nishana
Tanhai e sarwar pe meri jaan fida hai

Socha na tha ik roz ye iqbal milay ga
Mathay ko meray zahra s.a ka romal milayga
Shabbir ki nusrat ka ye anmol sila hai

Akbar ki qasam khidmat e eman karonga
Mai apne jawan laal ko qurban kronga
Shabbir meray dil mai nighaho mai khuda hai

Har dor ke logo ko mra zikr sunao
Mai ik hussaini hon zamanay ko batao
Likho ke rah e shah mai marne me maza hai

Noushad sada detay hain hur karb o bala se
Ay ahle aaza lartay raho zulm o jafa se
Shabbir se nusrat ka agar wada kia hai

Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.