HASSAN KE LAAL KA LASHA Lyrics | Ahmed Raza Nasiri | Nohay 2021 Muharram 1443

 
 
 Qadam Qadam pe Jo khud ko Gira rahe Hain HUSSAIN
HASAAN ke laal Ka lasha utha rahe hain Hussain

Gareeb kahte hain kis ko bata rahe hain Hussain
Hassan ke laal Ka lasha utha rahe Hain HUSSAIN

1.Khudaya dekhe na farwa sitaam Ka ye manzarr
Hazar tukroun me bikhara hai gul badan keh Kar
Abaa ko apni zameen par bichaa Rahe Hain Hussain

2.Mai tujh ko dhoondne jaoun Kahan bata qasim
Kahan Kahan se uthaaon badan tera qasim
Har ek qadam pe nazar ko jhukaa rahe Hain Hussain

3. Jo sar ko peet ke maqtal me rota hai sarwar
Har ek laash uthaii hai us ne kandhon pr
Naajane kaise  ye lasha utha rahe hain Hussain

  

4. Sitaam hai aysa kahaa Sheh ne mar me jaoun GA
Har ek tukre pe tere pohonch na poun GA
Saddaen de ke badan ko bulaa rahe Hain Hussain

5.Adaa har ek thi qasim ki khud Hassan ki tarha
Badan bhi paara hai ab uska perahaan ki tarha
Tabhi Tu farwa se lasha chupa rahe Hain Hussain

5.Aye Shams Shah jo khaiimoo ki simt aata hai
Tu pusht e Shah se qasim Ka khoon tapakta hai
Nishaani bhai ki khaiimoo me laa rahe Hain Hussain


Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.