Mola Humaara
Sab ka sahara
Zahra ka pyaara
Haq ka nazaara
Dil ki sada hai Ya Hussain
Khoon mein basa hai Ya Hussain
Tum bhi kaho Ya Hussain
Hum bhi kahein Ya Hussain
Sab milkay kaho Ya Hussain
Hussain Jaan Fida
Hussain Marhaba
Tiskeen e qalbe Fatima
Ey jaanasheen e mustafa
Hussain Jaan Fida
Hussain Marhaba
Jab tak hai baaqi dam me dam
Wada hai ya shaahe umam
Ghar me bichhakar farsh e gham
Pursa, sada denge baham
Matam karenge aap ka
Shah e Shaheed e Karbala
Jis khak me Abbas ka
Khoon e wafa shamil hua
Us khak se kaise bhala
Ghafil, rahen ahle aza
Wo khak hai khak e Shifa
Shah e Shaheed e Karbala
Kuchh is tarha wada wafa
Khanjar tale tum ne kiya
Shaahe Shaheed e Karbala
Hona, kahaa'n aasaan tha
Bankar magar dikhla diya
Shah e Shaheed e Karbala
Bete bhatije bhaanje
Qurbaan dee'n par kar diye
Kitne hi ranjo gham sahe
Lekin, nahi peechhe hatay
Karte rahe shukr e khuda
Shah e Shaheed e Karbala
Wo waqt bhi aaya ke jab
Maare gaye ansaar sab
Haste the ran me be adab
Phir bhi, Shahe aali nasab
Ummat ko dete thay dua
Shah e Shaheed e Karbala
Ghar lut gaya sar kat gaya
Tar khoon se thi Karbala
Wada har eik poora hua
Goonji fizao'on me sadaaaa
Hussain Marhaba, Marhaba Ya Hussain
Shaheed e Karbala Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain x2
Waqar e Nainawa Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain x2
Bahan ne, qatl gaah ki
Taraf junnnhi nigah ki
Hisaaaar mein sipah ki
Hussain they, tou aah ki
Hai bay khata mera Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain x2
Chhuri gale pay chal gaei
Badan’n se jaa'n nikal gaei
Faraat e gham machal gaei
Jo kefiyat badal gaei
Be Gor o Bekafan Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain x2
Siyaah aandhiyaa'n chalee'n
Falak hila hili zamee'n
Kahee'n pay khush they ahle kee'n
Qayamat aa gaei kahee'n
Tadap tadap ke sayyeda
Ye kahti thee'n ey Karbala
Tha mera laal be khata
To kyun hui hai ye jafa
Aey mera laadla Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain x2
“Asif” wo Zahra ka pisar
Tadpa jo khak e garm par
Haste the ran me ahle shar
Kaise, likhoon Al mukhtasar
HASHIM ye noha rah gaya
Shah e Shaheed e Karbala
Hussain Jaan Fida
Hussain Marhaba
Tiskeen e qalbe Fatima
Ey jaanasheen e mustafa
Hussain Jaan Fida
Hussain Marhaba
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.