Tadfeen e Bani Hashim Lyrics | Joan Rizvi | Nohay 2021

 
 
Baraye dafan hussain shaheed tashna kam
Jab aye terah muharam ko mojzay say imam
Kahein pay dekha kay hai sir perhi hai lash pidar
Kahein pay qasim o akbar kahein ali asghar
Tamam aza kay maqtal main lashay bekhray thay
Yeh hal dekh kay dil ko pakar kay baith gaye

Baba or bhai ke lasho kay darmiya
Ankho say khou bahatay thay sajjad na tawa

Bola bani asad say yeh shabir ka pisar
Mere madad karo main hun mazloom o pidar
Lashay perhay huay hein jo karbal ke rait per
Dafnao mere sath tum in lasho ko yahan

Baba ke or bhai ke lasho kay darmiya

Pehlay othaya betay nay wo lasha e pidar
Unees saw thay zakham tanay pash pash par
Baba ko rakh kay qabar main bola yeh pisar
Baba phiraye jate hein balway main bibia

Baba ke aur bhai lasho kay darmiya

Shaklay nabi kay senay pay naizay ka zakham tha
Pehlu main neza naizay main dil tha laga hua
Besakhta lipat gaye lashay say aur kaha
Balway main  be rida hoi akbar tumhari Ma

Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya

Maqtal main ek ghatri pay us dam pari nazar
Usko larastay hato say dekha jo khol kar
Tukray thay us main lasha e qasim ke khou pay tar
Khud ban gaye yeh dekh kay abid ke hichkiya

Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya

Lashay ke tukray jorh kay tab qabar main rakha
Abid he janay guzri thi abid kay dil pay kya
Dulha ko rakh kay ganjay shaheda main yeh kaha
Tukray yun he kaleja shabar kay thay ayah

Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya

Bolay bani asad kay huay dafan sab shaheed
Sajjad bolay ek hai sadma bohat shadeed
Hona hai dafan ek wo lasha abhe mazeed
Sahil pay so raha hai haram ka nega bah


Baba ke aur bhai ke lasho k darmiya

Pohchay saro ko peet tay ghazi ke lash par
Rakhay thay do katay huay bazu idhar udhar
Dekha chacha ke lash hai puri laho main tar
Rotay thay chum chum kay har zakham ka nesha

Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya

Ayy joan o majeed us ghari sajjad nay kaha
Ay ammu dekho kat gaya shabir ka gala
Phupio ke aur maow ke cheni gaye rida
Yeh baeen sun kay karbobala thy dhua dhua

Baba ke aur bhai ke lasho k darmiya
Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.