Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Lyrics - Mir Hasan Mir - Noha 2020/1442


 Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay Liye
Naseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye

Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Phir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho

Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb Ho
Aale Nabi Ke Gham Ka Bahana Naseeb Ho

Aisa Dar e Hussain Pe Sajda Ho Akhri 
Phir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho

Parvardigar Thokarein Dar Dar Ki Kab Talak 
Ab Mutakil Najaf Main Thikana Naseeb Ho

Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen ko 
Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho

Mehshar Ye Arzoo Hai Ke Be Ghuslo Be Kafan
Karbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho

Ansoo Gire Thay Bali Sakina Kay Jis Jagah
Apna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho

Yeh Keh Kay Shah Nikle Mazar e Rasool Sy
Pardes Main Kafn Mujhy Nana Naseeb Ho

Asghar Hai Mairay Hath Bandhay Kehti ThI Rubab
Kaise Tumhai Galay Say Lagana Naseeb Ho

Mashkiza Lay Kay Roza e Abbas Kay Qareeb
Sab Zairo'n Ko Pani Pilana Naseeb Ho

Ek Sar Burida Lashe Nay Bachi Ko Di Dua
Zindan Say Ko Laut Kay Ana Naseeb Ho

Nazdeek Khaima Gah Sakina Ki Yaad Main
Sham e Ghareeban Shama Jalana Naseeb Ho

Sajjad Sham Tak Yahi Karty Rahe Dua
Chadar Mujhy Phuphi Ko Urana Naseeb Ho

Aey Kash Phir Say Mir Takallum Furaat Par
Mehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho
Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.