Dil mein ehsaas yeh rakho logon
Bibiyan majlison mein aatin hain
Unko ronay ki rehgaee hasrat
Pursa lekar sukoon paati hai
Poochti hai, Sakina jab rokar
Bibi Zainab galay lagaati hain
Amman yeh kon log hain
Jo kartay hain girya
Haye parhtay hain noha
Yeh kon loug hain
1) Kartay hain musalsal yeh huma,ray liye riqqat
Daadi ke lieay inkay dilon, mein hai mohabbat
Pursay ke lieay, kartay hain Majlis ba aqeedat
Yeh kon loug hain
Amman yeh kon log hai
2) Hai unko aqeedat meray Am,mu key alam say
hojatay hain bechaiyn kattay, shano ke ghum say
hai unko barri, aas chacha jaa(n) ke karam say
3) Baba ki shahadat ka alam, unpay hai taari
Aur haey Hussain unki zabaa,no pe hai jaari
Bhaiyya Ali Ak,bar ke lieay kartain hain zaari
4) Jhoola Ali Asghar Ka Saja Leti Hain maaein
Ro ro kay liey karti hai jhoola ki balaaein
Aakar Aza Khaane mein yeh karti hai duaein
5) Yeh chahnay walay hain hama,ray phupi amman
Pyaaso ki sabeelo ka bhi kar,tay hain yeh samaan
aashoor ko kar,letay hain chaak apna garebaan
**** Farmaya yeh Zainab ney ****
6) Daadi ki duaon ka asar, hai yeh Sakina
Baba ke Azadar hain jo kartay hain girya
Ro ro ke Sakinaa ney kaha, thaam ke seena
Kaash yeh log us ghari hotay, Jab laeoono mein hum akeyley thay
7) Hai aaj bhi nazro mein woh aashoor ka manzar
gherey tha meray baba ko nau laakh ka lashkar
sookhi hui gardan pay phira,ya gaya khanjar
Kaash yeh log us ghari hotay, Jab laeoono mein hum akeyley thay
8) Dill dukhta hai yaad aati hai jab, shame ghareeban
bhikri hui laashon ka woh aa,lam woh bayabaan
Ammu nahin aaey mera jal,ta raha daamaa(n)
Kaash yeh log us ghari hotay, Jab laeoono mein hum akeyley thay Chorus
9) Aye Hashimi behno meri bi,bi ki yeh hasrat
rotay hain nigar ahle aza, ba dille riqqat
pursay say khudara millay sheh,zadi ko raahat
Kaash hum log us ghari hotay
Jab museebat mein thay Khuda walay
Ya laytani kunto ma’akum, Fa afuza fawza adheema
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.