Ali Akber Ki Azaan Lyrics - Mir Hasan Mir - Noha 2020/1442


Akber Akber
Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber

Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan
Akhri fajar hai yeh,is moazan ke liye,phir yeh awaaz Kahan

Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi
Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use
Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa

Abhi kuch dair salamat hai,haram Ka parda
Sham ke waqt jab aye gi,azano ki sadaa
Jaan bachane ke liye,sar chupane ke liye,chadarein hongi Kahan

Ro ke baite ne kaha baap se,hasrat hai meri
Aap ki behan to sun lein gi,sadaa Akber ki
In hawaon se kahein rukh madine Ka karein,meri sughra hai wahan

Naam aya jo Muhammad ka to roye maula,Inna lillah parha aur yeh ghazi se kaha
Is ko marenge sinaa,yeh musalman bhala,reham khainge kahan 

Aya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha,Mai fidaa aap pe Baba meri aulad fidaa
Teer Asghar ke lage,seena Akber ka chida,mujh pe khanjar ho rawan

Itna tarpe ga Hussain ibn e Ali ae beta,Teri maa ,teri phuphi,teri sakina sughra
Jee nahi payein ge sabhi,tujh ko barchi Jo lagi,tujh mai hum sub ki hai Jaan

Masjid e kufa nazar ane lagi karb o bala,do azano pe bohat royi hai bint e zehra
Aaj tak bhuli nahi ik baba ki azan,ik Akber ki azan

Kis qadar dard mai doobi thi sadaa Akber ki,gash se uth ker kaha Sajjad ne batlain phuphi
Sub kyun rote hain yahan,shor hai kaisa bapaa,kon deta hai azaan

Kesay manzar ho bhala mir taqallum wo raqam,bab e sa at pe huin 17 azane jis dam
Sun ke ik ik azaan,ro ke kehti thi wo maa mere Akber ho kahan
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.