Sultan e Karbala ke Mehmaan Lyrics Syed Raza Abbas Zaidi

 



 Likha Ya Hussain (a.s) Muharram ke Chand per

ZaHra(s.a) Bhi aa gai hai baqayaa ko chhodkar

Tute Hue Dilon Ka Sahara Hai jis Qadar

Aa Jao Us Hussain (a.s) ki jaanib krainSafar_

Jo Kibriya ki Shaan Mohammed Ki Jaan Hai

Ya Hussain a.s Ya Hussain a.s Ya Hussain a.s

Dam Badam Qadam Qadam hai Dil Mein Ishq Karbala Husaina Husaina

Zayeroon Ke kafi logon se a rahi hai yah Sada Hussina Hussaina

Chaly Chalo Badhe chalo Hussain ki Sada suno Hussain (a.s) tumko Bula rahi hain Hai samne Karbala

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Parcham ke saye mein hai Abbas(a.s) Ki sawaari

Mehman Nawaziyoon ki Tayariyan Hain Jari

Shabeer ka Haram Hai Halchal Hai Khadimoon ma

 Gunbad pe Shah-e-Deen k parcham Laga rahe hain_

Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain_

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Jo bekfan Hai uska Darbar saj raha hai woh ho raha hai jo bhi Abbas ne Kaha Hain he surkh roshani Mein kale libas wale ro ro Ke farsh matam khadim bichha rahe hain Sultan-e- Karbala Ke mehman a rahy hain_"

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Ro ro Ke kah rahe hain afsos Hai yah BiBi(s.a) aye Kash ham Jo hote Ashoor wale din bhi 9 Laakh Zalimoon mein tanha Na hote Mola(a.s) Labaik kah rahe hain aur rote ja rahe hain Sultan-e-Karbala MeHmaaN arhy Hain_

Noorani chehre wale galoon pe khak mal kar zawar a rahe hain paidal Najaf se chal kar_

is Ishq ke safar mein Har shakhs mezban hai kuchh log raste se pathar hata Rahy Hain_

Sultan-e-Karbala Ke mehman a rahe Hain

UN per Salam ho Jo baisakhiyon pe aaye paon ke bal Nahin the phir Bhi Na ladkhadae milati Nahin sabhi ko yeh Ishq Ki bulandi bus Ya Hussain keh kar woh chalte ja rahe hain_

Sultan-e-Karbala Ke mehman arhy Hain

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Thame hue tabruk rahon Mein Jo khade Hain Qasim(a.s) ka naam lekar taqseem kar rahe hain dono Jahan Mein aisa jazba kahin Na Dekha Jo Sal bhar kamaya woh sab Luta rahi Hain_

"Sultan-e-Karbala Ke mehman arhy Hain."

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Yeh woh zameen Hai jis par pyasi rahi sakeena(s.a) Ghazi ko yaad karke roti rahi sakeena(s.a) 

ab is jameen pe koi pyasa Nahi Hai Dekho peyasoon ko mashk wale pani pila rahy hain_

"Sultan-e-Karbala Ke mehman arhy Hain

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain

Zeeshan aur Raza jab Maula ke pass jana Hur Ki Qasam Hai tumko tabdeel hoke aana 

Aye zaireen-e-Mola hai asal yah ziyarat 

Aye zaireen-e-Mola hai asal yah ziyarat

Unki hai mezbani Jo Hur banaa rahy Hain

Sultan-e-Karbala Ke mehman arhy Hain

Akbar(a.s) ke sath Ghazi(a.s) Khud Lene ja rahe Hain Sultan-e-Karbala k mehman arahe Hain 

Tum Apne Dil main ziyarat Ki arzoo rkhna 

Yeh unka kaam ha jazby Ki aabru rkhna

Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.