ALI ALI MOLA ALI LYRICS - JOAN RIZVI NEW MANQABAT 2021 - 13 RAJAB



Ali Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali dekh sun raz e kun wajh e khaleeq e jahan Ali Ali Ali Ali Ali Ali Mola Ali La fatah shair e khuda bus aisa hai Mola mera Ali Ali Mola Ali 13 rajab ko kabay ki taqdeer yun badli gaye jab fatima binte asad kabay ki janib berh pari tab dekh ker maryam yeh manzar eesa sa kehnay lagi tatheer main haq sa Ali ki maan ko kya rutba mila Haq nay ALi ko haq diya hai do jahan kay raaj per saya Ali kay taaj ka hai her nabi kay taaj per khud Mustafa na dekhi ye shan e ALi mehraj per keh guftugo Allah Ali k lehjay main hai ker raha zehnoo main jo na asakay toheed ko woh raaz ali aur ghaib kay parday main hai Allah ki awaz Ali daste Ali daste Khuda yani kay Adam saaz Ali hai kya haqiqat main Ali yeh hashr main khul jayay ga Hajat rawan mushkil kusha aur saaki e kausar Ali shabbar ali Sarwar ali asghar ali akbar ali abbas ali qasim ali hai noor e peghambar ali her noor ki tasweer main haider hai aks e Kibriya wajib khuda na ki hai khud jiski wilayat woh ali chalti hai kul makhlooq per jiski hukumat woh ali waris nabowat ki hai bus jiski imamat woh Ali hub e Ali hai dil main to razi nabi razi khuda dosh e nabi ya arsh ho kaaba ho ya Qruan ho meezan ho ya qambar ho mimber ho ya maidan ho salman ya sulaiman ho ho deen ya eeman ho aisa nahi kuch bhi jahan ho na ali ka tazkira Qawalli jame wila main nara Ali ka mila kay pee munkir ka dil jalay issay aise pila kay pee jam e wila sharab e tahoora sa berh k hai is per nahi hai qaid ja kabay main jakay pee jam e wila nay yeh lal qalandar nay dam ba dam ker kay dhamal wajd main nobat baja kay pee Dhamaal Sayeen Lal qalandar nay hai seewan main kya rung jamaya masto mast nay masti main meesum ka aqida apnaya sag haider kay dar ka banker ghar ghar main haq phauchaya ghazi ka parcham Nam e Ali saray sindh main leh raya hain ghoos ho sab abdal qalandar sab haider kay noker shams bithaye ajmairi jhuktay hain haider k dar per mosa eesa ho ya salman o abuzar hon ya kambar sabka hi wird wazifa hai bus haider haider haider
Categories:
Similar Posts

0 Comments:

Please do not enter any spam link in the comment box.