Lasha e Muslim Pay Haye Ro Ke Zahra Nay Kaha
Ya Ali Mara Gaya Hai Maira Beta BeKhata

Zalimo'n Nay Ghair Kay Mara Hai Is Ko Is Tarah
Chand Mairay Ghar Ka Haye Badliyo Main Ghir Gaya

Shehar e Kufa Syeda Ko Raas Na Aya Kabhi
Aj Phir Rone Ki Khatir Hai Yahan Ana Para

Haye Tanha Jaan Kay Mara Hazaron Nay Isay
Sar Ta Paa Is Ka Badan Hai Sara Zakhmo Say Bhara

Pehlay To Darul Imara Say Giraya Haye Haye
Aur Phr Pamaal Sab Nay Lasha e Muslim Kiya

Lash Par Roo'n Main Iski Ya Karun In Ko Talash
Hogaye Ghurbat Main Is Kay Dono Bachai Bhi Juda

Aey Safeer e Karbala Bas Yeh Hai Aizaz e Raza
Ap Jo Maqbool Kijye Yeh Likha Noha Mera



Haey Muslim, Haey Muslim as
Haey Muslim, Haey Muslim as

Aey Muslim E Ghareeb as
Aey Muslim E Ghareeb as

Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi
Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi

Muslim as Ki Laash Kofay, May Be-aasra Howi

Kiya Haal Kardiya Hay, Safeer E Hussain as Ka
Zakhmo Say Choor Choor Hay Damaad E Murtaza as
Phir Kofa Roney Aai, Hay Beti Batool sa Ki

Logo'n Ziraa Ko Bech Kar Dena Mujhe Kafan
Mil Jayen Jab Pisar Mere, Pohanchana Tum Watan
Muslim as Ki Pori Koi, Wassiyat Na Ho Saki

Muslim Hay Bey Dayaar, Kisi Ko Nahi Khayal
Kiya Hoga Karbala May, Yeh Kofay Jab Hay Haal
Syed as Shaheed Hota, Hay Hanstey Hain Ummati

Beyton Ko Intezar Tha Wo Laut Aynge
Behno Ki Eid Hogi Galay Jab Lagaynge
Baba, Baba
Haey Baba, Kay Badlay Unsey Yateemi Galay Mili

Haey.!
Do Ungliyun Kay Darmiyan Dekho To Bhai Jaan
Khanjar Galay Pey Kofay May Muslim as Kay Hay Rawaan
Yeh Baat Roo Kay Ghazi as, Say Shabbir as Nay Kahi

Ek Eid Kay Qareeb Howey Baap Say Juda
Ek Eid Per Behan Ka Bhara Ghar Ujar Gaya
Abbas as Dono Eido'n Pey Rotey Hain Aaj Bhi

Qabr E Batool Per Gayi Ek Khaali Gaud Maa
Sajday Kay Sath Aankh Say Aanso Howey Rawaan
Ummal Baneen sa Ko Jab Yeh Takallum Khabar Mili

Labaik Allahuma Labaikh
Labaik Allahuma Labaikh
Labaik Allahuma Labaikh
Hussain Ruk Jao
Hussain Ruk Jao
Hussain Ruk Jao

Sada Yeh Daita Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
Sada Yeh Daita Hai Kaaba Hussain Ruk Jao

Na Badlo Hajj Ka Irada
Hussain Ruk Jao

Tum Apne Jad Makaan Main Ho Bai Darar Nahi
Hussain Mujhko Zamane Ka Aitebar Nahi
Hai Sath Sani e Zehra
Hussain Ruk Jao

Tumharay Paon Pakarti Hai Sar Zameen e Haram
Khuda Kay Wastay Agai Na Ab Barhao Qadam
Na Jao JanIb e Kufa
Hussain Ruk Jao

In Hajio Ki Zara Bhi Nahi Hai Fikr Mujhay
Hai Bas Yeh Fikr Kay Gar Ap Mujh Ko Chor Gaye
Mera Bhi Hajj Nahi Hoga 
Hussain Ruk Jao

Kaho Rabab Say Baisheer Ko Bhi Lai Ao
Ali Ki Tarha Yahan Par Maqeem Hojao
Tumhara Bacha Hai Chota
Hussain Ruk Jao

Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Main
Suna Hai Bibi Ko Mara Gaya Madine Main
Arey Sunao Gurbat e Zehra 
Hussain Ruk Jao

Karaingain Jashan Kay Yom e Ameer Hai Nazdeek
Ghareeb e Zehra Na Jao Ghader Hai Nazdeek
Parhain Mil Kay Qasida
Hussain Ruk Jao

Suna Hai Karbola Main Bala Ki Garmi Hai
Tumhai Pata Hai Isay Kitni Pyar Lagti Hai
Hai Sath Bali Sakina 
Hussain Ruk Jao

Laeen Phirtay Hain Ahraam Main Liye Khanjer
Tum Apni Behno Ko Lai Ao Kaabe Kay Andar
Har Ek Simt Hai Khatra 
Hussain Ruk Jao

Jo Guzri Tum Pay Musibat Unhai Suna Dai
Samajh Kay Marqad e Zehra Diya Jala Daina
Yahin Hai Qabr e Khadija 
Hussain Ruk Jao

Unhai Khabar Hai Na Chorain Gi Tum Ko Wo Tanha 
Tumhari Maa Say Ziada Chala Nahi Jata
Hai Un Ka Phelu Shikasta 
Hussain Ruk Jao
 
Wo Gham Imam Ka Sajjad Kis Tarah Likhai
Nikal Kay Makkah Say Kitna Hussain Roye Thay
Bulata Reh Gaya Kaaba
Hussain Ruk Jao

 
Allah Hu, Allah Hu

Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah

Dour Say Kab Tak Main Dekhun Khana E Kabaa
Ab Nahi Mujh Sey Raha Jata Mere Maula
Raat Din Aankhon May Bas Yeh Khuwab Rehta Hay
Lab Pey Allah Humma Labbaik Ka Nara'a

Labbayka -Allāhummalabbayka, labbaykalā šharīka laka labbayka, 
ʾinna al-ḥamda wa an-niʿmata lakawa al-mulk lāšharīkalak
Labbayka -Allāhummalabbayka,

Baandh Ker Miqaat Say Ehraam Aounga
Khana E Qaba Kay Phir Chakker Lagaonga
Hajr E Aswad Choom Lunga Apni Nazron Say
Hajj Pey Yeh Armaan Sarey Lay Key Jaonga
Surah E Hajj Parh Liya Qura'an May Maula
Hay Safa Marwa Mere Osaan May Maula
Jism To Mera Yahan Per Reh Gaya Lekin
Roh Hay Arfaat Kay Maidaan May Maula

Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah

Aey Khuda Aashiq Hun Main Ruqan E Yamani Ka
Aab E Kusar Ki Tarhan Zamzam Ka Hun Piyasa
Ayaten Meccay May Hai Pehli Hui Teri
Dil Minaa Per Hay Mera Qurban Aey Maula
Aankh Say Mahool Jannat Ka Nahi Dekha
Ager Tere Mehboob Ka Jalwa Nahi Dekha
Sari Duniya Dekh Ker Bhi Aesa Lagta Hay
Kuch Nahi Dekha Ager Kaba Nahi Dekha

Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah

O' Apney Bandon Say Ager Naraaz Hay Maalik
Panjetan As Ka Wasta Raazi Ho Aey Maalik
Tou Ager Chahey To Ho Asaan Her Mushkil
Raastey Hum Per Safar Key Khool Dey Maalik

Labbaik Allah Humma Labbaik
Labbaik Allah Humma Labbaik

Hay Takallum Muslimu Ko Dars Yeh Hajj Ka
Sab Ka Andaz E Ebadat Aik Hi Jesa
Muttahid Ho Jao Ab To Aey Musalmano
Masjid Sab Ki Alag Hay Aik Hay Kabaa
Aik Hay Kabaa, Aik Hay Kabaa

Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah
Yaad Ata Hay Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah


 


Aey Dar Kay Darman Sultan e Khurasan
Aala Hai Tairi Shan Aey Natiq Quran
Hum Sab Ka Hai Emaan , Jannat Kay Khurasan

Kiya Jo Zikr Ali Ka Raza Ke Rozey Par
Najaf Ka Daikha Nazara 

Qabool Hogai Tauba Raza Ke Rozey Par 
Parha Jo Surah Tauba Raza Ke Rozey Par

Ghareeb Ho Nahi Ja Saktay Hajj Pay Aao Chalo
Sawab Hajj Ka Milaiga Raza Ke Rozey Par 

Khuda Ka Shukr Kay Dharkan Ka Aur Nobat Ka 
Tha Rang Ek Hi Jaisa Raza Ke Rozey Par

Samajh Main Agai Khud Dar e Mustaqeem Mujhay
Tha Rang Ek Hi Jaisa Raza Ke Rozey Par 

Yahan Pay Koi Gaar Anahi Sakta Raza Ke Rozey Par
Kahin Likha Nahi Daikha Raza Ke Rozey Par

Mazeef Shah e Khurasan Main Khuli Mujh Par
Haqeeqat e Man o Salwa Raza Ke Rozey Par

Mairi Biyaaz Main Khamoshi Tha Jo Arsay Say
Woh Shair Hogaya Zinda Raza Ke Rozey Par

Ali Ali Ki Sada Dai Raha Tha Jab Main Nay
Kalam Pak Ko Khola Raza Ke Rozey Par

Mila Yun Rizq Kay Qatar Unton Ki 
Sawal Rizq Kiya Tha Raza Ke Rozey Par

Rasool Tark Ko Daikha Raza Ke Rozey Par 
Kushi Main Jhoom Raha Tha Raza Ke Rozey Par

Barhi Hai Yeh Batati Hai Loh Chiragon Ki 
Hawa Ka Bas Nahi Chlta Raza Ke Rozey Par

Talash Mir Hasan Ko Na Karna Bad e Qaza
Woh Karbala Main Ya Hoga  Raza Ke Rozey Par