Kufao shaam ka nikla nahi dil se manzar
Zindagi kat gayi Sajjad ki rote rote
Nange sar aati thi ma bahno ki tasweer nazar
Dard e dil aur badha haye kabhi kam na hua
Ashk bahte rahe ankho se juda ghum na hua
Manzar e shaam pe rote rahe shaam aur saher
Mubtela gham me rahe has ke koi baat na ki
Noha padhte rahe khushyion se mulaqat na ki
Dil se afsos nikal paya na gham ka manzar
Bojh ahsas ka seene se utara na gaya
Chain se ek bhi din haye guzara na gaya
Marte dum tak bhi chala dard ka khanjar dil par
Beridai ka nikal paya na seene se malal
Yaad aate rahe h maa bahno ke bikhre huye baal
Dil se Abid ke juda ho na saka gham ka asar
Ye Sakina hai wo Zainab hain wo Umme Laila
Hakime shaam ne har ek se has kar jo kaha
Gunjti rahti thi kaano me ye ghamgeen khabar
Koi dekhe na jo bimar ne manzar dekha
Haye pyaso pe baraste huye patthar dekha
Kanpta rahta tha ye soch ke Abid ka jigar
Roke farmate the mai hashr ke hangaam me tha
Maut kaise na mujhe aayi ke jab shaam me tha
Phir bhi shikwa na kiya nana ki ummat se magar
Jab talak zinda rahe Abid e bimar Nawab
Bhool paye na kabhi shaam ka bazar Nawab
Rozo shab karte rahe girya o zari me basar
0 Comments:
Please do not enter any spam link in the comment box.